Tumahri Kasam Bahut Yaad Aate Ho...
Mat pucho ye mujhse ki kab yaad aate ho ,
jab jab sansein chalti hai bahoot yaad aate ho..
neend mein palkein hoti hai jab bhi bhari,
banke khwaab baar baar nazar aate ho..
mehfil mein shamil hote hain hum jab bhi,
bhiron ki tanhayon mein har baar nazar aate ho..
jab bhi socha ki faasla rakhoon main tum se,
zindagi ban ke saanson mein sama jate ho..
khud ko toofan banane ki koshish to ki,
ban ke sahil apni aagosh mein sama jate ho..
chaha na tha maine is paheli me uljhana,
her uljhan ka jawab ban ke ubhar aate ho..
suraj ki roshni,chanda ki chandni,
aasman ko dekhta hoon main jab jab,
tumahri kasam bahut yaad aate ho..
Ab na poochhna mujhse ki kab kab yaad aate ho....
Comments
Post a Comment