Posts

Showing posts from February, 2013

Dard Ko Mujhe Dard Dene Ki Aadat Ho ........

Dard ko mujhe dard dene ki aadat ho gayi hai Aur mujhe dard ko sehne ki aadat ho gayi hai Ab na wo mujhse juda hai na mai usse Hum dono ko ek dusre ke saath rehne ki aadat ho gayi hai..

Tum Bin Kitne Aaj Akele Hain ...

Tum bin kitne aaj akele hain Kya hum tumko batlaye, Ambar me hai chand akela, tare uske sath to hai Tare v chhup jaye agar to, sath andheri rat to hai Par hum to din rat akele hain, Kya hum tumko batlaye.....

Kisi Ka Sath Nibhana Kamal Hota Hain...

Kisi ka sath nibhana kamal hota hain  kisi ko fir se bulana kamal hota hain .. khud apne dard ko har koi jhel leta hain  kisi ka dard bantna kamal hota hain ... koi pahad girna nahi hain numankin  gire hue ko uthana kamal hota hain .. kisi andhere ko sahna kaml lagta hain, fir isme deep jalana kamal hota hain.. bahar rut me to ugte hain phul bagon mein, khijan me phool ugna kamal hota hain .. kisi ki ankh se duri to julm hain , kisi ke dil me samana kaml hota hain ...

Nasha Sa Chhane Laga Hain Mohabbat Ka..

Nasha sa chhane lagaa hai mohabbat ka zara waqt ko aaj yahan thahar jane do dooriyan itni kam ho jayen darmiyan aaj sanson ko saanson se hoke guzar jaane do bheege lab tumhaare mere labon ko chhuulen usi meethe zeher se aaj mujhe mar jaane do haathon ki ungliyaan kare sharaarat thodi pyaar ke sparsh se khudko nikhar jaane do na rahe koi baat baaki dil me humhaare ab dil ki hasratein saari poori kar jaane do khuli baahen meri, tumhe bulaa rahi hain aake inme khud ko tut ke bikhar jaane do

Pyar To Ehsash Hain..

Pyaar to ehsash hai uske ijahar ka, Juban ki jarurat kya hai, Pyaar to khudai hai Uski bandagi ki, Numaish ki jarurat kya hai

Aisa Hota Nahi Ki Aapki Hume Yaad Nahi ...

Aisa Hota Nahi Ki Aapki Hume Yaad Na Aaye Baat Sirf Itni Hai Ki Hum Kabhi Jata Na Paye PyarTumhara Humare Liye Anmol Hai Jaan Mauka Diya Nahi Tumne Aur Hum Dikha Na Paye

Duniya Mein Haqiqat Ka Kuch Nahi Pata..

Duniya mein haqiqat ka kuch nahi pata, Ilzaam hazaron hai khata ka kuch nahi pata, Meri zindagi mein kya hai padh na sakoge, Bas ashkon ke daag hain aur likha kuch nahi...

Har Din Kaate Hain Aapki Hi Yaad Mein...

Har din kaate hain, aapki hi yad mein Har raat na soye hain, aapki fariyad mein... Har waqt guzara hai, aapke hi soch mein, Har pal bitaya hai, aapke aaghosh mein.. Har lamhon ko jeeya hai, aapke deedar mein, Har khushiyon ko paaya hai, aapke izhar mein.. Har saans li hai,aap hi ke naam ki, Har ghoont pi hai, tere ishq ke jaam ki.. Har khushiyan dekhi hain, aapke hi daaman mein, Har phool chune hain, aapke hi chaman mein.. Har lafz kahe hain, aap hi ke baare mein, Har kashti lagayi hai, aapke kinare mein.. Baarishon mein bheege hain,aap ke mohabbat mein, Kahan hoga aisa mazaa, jo hai aapki nazakat mein.. Khud ko pighalte dekha hai,aapki kashish mein, Khud ko rok na paye hain, ghirne se is bandish mein.. Mili to hain khushiyan zannat ki, aapke is pyar mein, Par BEWAFAI bhi payi hai janam, aap hi ke pyar mein....