Posts

Showing posts from August, 2013

Meri Wafaon Ka Kuch To Sila Do Mujhko ...

Meri wafao ka kuch to sila do mujhko, Aisa karo aaj jala do mujhko.. Bahut muddat se guzar rhi hai jindagi haste haste, Chale aao jee bhar k rula do mujhko. Kayi roz se teri mahfilon se sirf hai wasta rakkha, Ek kaam karo jahar judai ka pila do mujhko.. Ek mazboot shakshiyat ban gaya hun ishq kerte kerte, Tum fir zameen-o-wazod tak hila do mujhko...

Teri Rooh Mein Bas Chuka Hoon Main ..

Teri har soch har umeed mein main hoon Ab kya kahoon ki teri tamanna kya hai... Teri rooh mein bas chuka hoon main Tujhe maloom hai mujhse sunne ki zaroorat kya hai... Apni chahat ke ek lamhe mein basa le mujhko Us lamhe mein waqt ka guzarna kya hai... Meri aankhon mein tu yun utar aayi hai Ki ab raat mein chaand ka aana kya hai... kahin yun na ho ki aankhe phir se baras pade  Mujhse na poonch ki teri mohabbat ka fasaana kya hai...

Yaad Aaaye Jo Meri Bhool Ke ..

Chandni raat mein kirano ka nazaara karna Chand dil karna to jazbon ko sitaara karna  Raat bhar khwab mein neend aati nahi hain mujh ko Khwab mein aana muhabat ka ishaara karna  chale aao tumhe paklon pe bithaye ham bhi Saari dunia se bas us pal ko kinaara karna  raat tanhaai ke aalm main to yaad aata haain chand ko dekh k kab tak hain guzaara karna  Aarzu hain meri jab marte huwe girne lagoon us ghari bahoNn ka ik baar tum sahaara karna  yaad aaye jo meri bhool ke meri jaan pyar se gaon ke raston pe pukaara karna

Tumahre Khwaab ...

Har raat me gehri nind so jata hun  Kyun ki tum hi to keh jate ho har raat Kal fir khwabon me mulakat hogi Yunhi fir tum par mere pyaar ki barsat hogi.... Main har raat sokar khwaabon me khokar Tumko paa leta hun  tum me jee leta hun Jo nahin kar sakta main jaagte hue... Har wo kaam tum sang kar leta hun Apni zindagi k kuch hasseen pal main In nind se bhaari palkon me saja leta hun....

Ye Jo Zindagi Ki Kitab Hain ...

Ye Jo Zindagi Ki Kitab Hai Ye Kitab Bhi Kya Kitab Hai? Kaheen Ik Haseen Sa Khuwab Hai, Kaheen Jaan Leva Azaab Hai, Kabhi Kho Lia, Kabhi Paa Lia, Kabhi Ro Lia, Kabhi Gaa Lia, Kaheen Rehmaton Ki Hein Baarishein, Kaheen Tishnagi Be Hisaab Hai, Kaheen Chaaon Hai, Kaheen Dhoop Hai, Kaheen Or Hi Koi Roop Hai, Kaheen Cheen Leti Hai Har Khushi, Kaheen Meharbaa'n Be Hisab Hai, Ye Jo Zindagi Ki Kitab Hai. Ye Kitab Bhi Kya Kitab Hai..!!

Mohabbat Humne Ki Hain ..

Humari ankh me Paanee Bahoot Hai. Ke Is Duniya me Beimaani Bahoot hai.. Mohabbat humne ki Hain,Humse Poocho... Mohabbat me Pareshani Bahoot Hai...

Zindagi Mein Kuch Lamhein Khaas Ban Jaate Hain ...

Zindagi Mein Kuch Lamhein Khaas Ban Jaate Hai, Mile to Mulakat Ban Jate Hai, Bichhre to Yaad Ban Jate Hai, Aur Jo Dil Se Kabhi Nahi Jaye, Wo Kuch Log Jine Ka Ek Bahana Ban Jate Hai.

Hum Aapse Pyaar Karte Hain ...

Lamhe judai ke bekarar karte hain, Haalat meri mujhe laachar karte hain, Aankhe meri pad lo kabhi, Ham khud kaise kahe ki hum aapse pyaar karte hain.

Jaane Kya Hain Dil Ke Andar ...

Jaane kya hai dil ke andar jo chupke se toot raha hai Ek meherbaan ka haath jaise hathon se chhooth raha hai Lamha lamha guzar ke dafan ho raha hai seene main Seh kar ye dard kuch ajab maza aane laga hai jeene main Jaane yeh kis rehguzar pe qadam humne badhaye hain Jaana tha kis manzil par, jaane kis aor nikal hum aaye hain Ek khalish hai dil ko gehre, ek ajab si khaamoshi chaayi hai In chubhti tanhaiyon main aaj yad teri bahoot aayi hai !!

Ek Larka Tha Deewana Sa ...

Ek Saal Purana Qissa Hai Ek Larka Tha Deewana Sa Karta Tha Manmana Sa Wo Shokh Shokh Chanchal Sa Mehka Mehka Pagal Sa Ik Roz Muhabbat Ker Baitha Or Ab Ke Sal Ka Qissa Hai Ab Wo Mazi Ka Hissa Hai Wo Pyaar Pe Jaan Ko Waar Gya Or Apne Aap Ko Maar Gya Sare Jag Se Jeet Gya Bas Apne Aap Se Haar Gya . . .

Jin Lamho Me Hum Sath Rahe ....

Kuch Yadein Hai Un Lamho Ki, Jin Lamho Me Hum Sath Rahe,  Khushiyo Se Bhare Jazbat Rahe, Ek Umar Gujari Hai Humne,   Jaha Rote Huye Bhi Hanste The, Kuch Kahte The Kuch Sunte The,   Hum Roj Subah Jab Milte The, To Chehre Khilte The,   Phir Luft Wo Manjar Hota Tha, Mil Kar Batein Karte The,  Hum Socho Kitna Hanste The, Wo Goonj Humari Hansne Ki....   Ab Ek Purani Yaad Bani,  Ye Batein Hai Un Lamho Ki, Jin Lamho Me Hum Sath Rahe... 

Hansati Thi Mujhko To Phir Rula Bhi Deti Thi ...

Hansati thi mujh ko to phir rula bhi deti thi, Kar ke wo mujh se aksar wade Bhula bhi deti thi, Bewafa thi bahut magar achha lagta tha dil ko Kabhi kabhi batein mohabat ka suna bhi deti thi Tham leti thi haath mera kabhi yunhe khud Kabhi haath apna mere hath se chura bhi leti thi Kabhi be-waqt chali aati thi milne ko Kabhi Qeemti pal mohabat ke ganwa bhi deti thi Ajab dhoop chaoun sa mizaj thi uski , Mohabt bhi karti thi  nazron se gira bhi deti thi..!!

Muddat Ke Baad Dekha Use .....

Muddat ke baad dekha use badla hua tha wo, naa jaane kya haadsa hua sehmaa hua tha wo, Mujhe dekh kar usne chehra chupa liya, Magar aankhe bata rahi thi ki roya hua tha wo, Uski aankho me dekh kar mehsus hua mujhe, Meri tarah kisi soch me dubaa hua tha wo, Uski aankho me wo dard Ki rangat aa gyi thi, Jaise kisi ke pyar me bahoot jala hua tha wo, Qurbaan ho jaau us shaks ki kismat pe main, Yaad me jiski khoya hua tha wo...

Mujhe To Bhulana Bhi Nahi Aata...

Mujhse Roothna Mat , Mujhe Manana Nahi Aata .. Mujhse Door Mat Jaana , Pyar Se Mujhe Wapas Bulana Nahi Aata .. Tum Mujhe Bhool Jao .. Yeh Tumhari Marzi .. Par Mai Kya Karoon .. Mujhe To Bhulana Bhi Nahi Aata,...

Jaane Kya Shikast Ka Azaab Liye Firta Hun......

Jaane kya shikast ka Azaab liye firta hun. Main kya hun aur kya khawab liye firta hun. Usne ek baar kiya tha sawal-e-mohabbat. Me har lamha wafa ka jawab liye firta hun. Usne pucha kab se nahi ho soye. Me tab se raat jaagne ka hisaab liye firta hun. Uski khawaish thi ke meri Aankho me pani dekhe. Me us waqt se Aansuo ka sailaab liye firta hun. Afsos ke wo phir bhi mere na hue. Me jiski Aarzoo ki kitaab liye firta hun....

Dil Todna Mana Hain ...

Kitaabon mein kehte hai phool todna mana hai Baagon mein kehte hai phool todna mana hai Phoolon se keemti cheez hai DIL Par Koi nahi kehta ki dil todna mana hai..!!!!

Mohabbat Ne Unki Hame Nakam Kar Diya...

Mohabbat ne unki hame benaam kar diya. Har khushi se hame Anjaan kar diya. Hamne kabhi bhi nahi chaha ki hame bhi pyar ho. Par unki ek najar ne hame Nilaam kar diya..

Ye Aag Ka Dariya Hian Mujhe Bach Ker Jana Hain...

ye aag ka dariya hai mujhe bach ker jana hai , Aye yaar jindagi ka mere nahi koi thikana hai...... tu pagal lamho ka betaab sa jhoka hai ,  tujhe kya malum hai ki is ishq me kitna dhoka hai... tu mangta hai duwaye jub tutate hai taare, kitna dard inhe hota hai judai me tu kya jaane ... tu manchala hai bhawra mujhko kuch pal ke liye khila dega, jub hogi teri jarurat kahin or tu chal dega... khaayi hai chot maine is ishq ke raahon me, mujhe nahi lotana hai ab sanam ki baahon me... Chand lamho ke liye kyun dil bahlaane aaya hai, Main pyar se wakif hu mujhe kya batane aaya hai.. Mujhe rakhne de dil pe mere kaabu tu, Na ban hamdard mera na ker koi bekaabu tu.... ye aag ka dariya hai mujhe bach ke jana hai, Mere ishq ke lamho ek bada fasana hai. tu ja manchale mujhe chhu na paayega, jal raha itna main ki chukar jal jaayega..

Aankh Se Lahu Na Bahaaya Kar..

Aankh se lahu na bahaaya kar, aye dil use kabhi to bhool jaya kar, dekhna wo ek din tujhe chhor jaaye ga, na tu use itna sataaya kar, itna aetbaar bhi achha nahi hota, use har ek baat na bataya kar, shiddat-e-gham se seena phatt jaaye ga, aankh se kuch aansu bahaya kar, us jesa tujhe kahin mil nahi sakta,    hazaar baar roothe hazaar baar manaya kar..

Hume Jeene Nahi Deti Hain Ye Gujari Huyi Yaadein...

Hume Jeene Nahi Deti Hai Ye Gujari Huyi yaadein... Hame Se Bhooli Nahi Jati Hai Ye Biti Huyi Baatein... Ab Kaise Kahein Hum Tum se Ye Dost Teri Baatein... Hame Har Pal Yaad Dilati Hai Teri Har Chhoti chhoti Baatein...

Kabhi Ghum Ki Aag Mein Jal Uthe...

Kabhi Ghum Ki Aag Mein Jal Uthe, Kabhi Dil ka Dagh Jala Diya,, Ae Janoon-e-Ishq Bata Zara,,, Mujhe Kyun Tamasha Bana Diya ... ! Gham-e-Ishq Kitna Ajeeb Hai, Ye Janoon Se Kitna Qareeb Hai,, Kabhi Ashq Palkon Pe Ruk Gaye,,, Kabhi Main Ne Dariya Baha Diya ... !! Mera Jazba-e-Shoq To Dekhiye, Meri Bandgi Hai Wo Bandgi,, Jahan Tera Naqsh-e-Qadam Mila,,, Wahin qaaba Maine Bana Diya ... !!! Abhi Kar Rhe Ho Tum Ibteeda, Mera Keh Raha Hai Ye Tajurba,, Tumein Zindagi Ki Hai Aarzu,,, Mujhe Zindagi Ne Mita Diya ...

Betaab Se Rehte Hain Teri Yaad Mein Aksar..

Betaab se rehte hain teri yaad  Mein aksar Raat bhar nahi sote teri yaad Mein aksar Be'dard zamane ka bahana sa bana ke Hum toot k rote hain teri yaad Mein aksar  Bhool jayein tumhein ye to mumkin hi Nahi Hum khud ko bhool jate hain teri yaad Mein Aksar..

Aayi Phir Wohi Pyaasi Shaam Hain

Aayi Phir Wohi Pyaasi Shaam Hai, Phir Wohi Intezaar Ka Mukaam Hai, Lut Gaye Yeh Neend-O-Karaar Ab, Aarzu Mein Tere Dil Hua Nilaam Hai, Karte Hain Sawaal Yeh Lab Mujhse, Muskaan Kis Cheez Ka Naam Hai, Kahaan Dhoondhu Main Us Shakhs Ko, La-Pata Woh, Shehar Gumnaam Hai, Aa Ja Ke Saansein Hain Pareshaan, Tere Bagair Lage Zindagi Ilzaam Hai, Sab Paa Kar Bhi Kuch Nahi Hai Pass, Bas Yeh Jazba-E-Ishq-E-Nakaam Hai