Posts

Showing posts from January, 2014

Yeh Dil Mera Fir Se Mohabbat Mein Paagal Huwa...

jabse natkhat tumhari aankhon ka kaajal hua yeh dil mera fir se mohabbat mein paagal hua jab chehre se apne zulfon ko hataya tumne tab  yeh dil mera barasne ko pyaar kaa baadal hua koshish laakh karlo tum, main duur jaaun tum se yeh dil mera tumhaare aur kareeb pal pal hua yun asar kiya hai tumhaari aankhon ne mujh par dil mera lutne ko tum par paagal har pal hua tha yeh aashiq barson se haseen har chehre ka yeh dil mera dekh tumhe deewana aaj kal hua

Haalat Pe Mere Is Tarah Muskuraya Na Karo ..

jhooti mooti baatein mujhse banaya na karo yun meri tasveer ko dekh sharmaya na karo jaanta hoon main tumhe mujhse mohabbat hai dil ki baaton ko mujhse chhipaaya na karo jaante ho tum bhi mera kya haal hai tum bin yun jaan ke har baat mujhe tadpaaya na karo baitho der tak mere saamne ki dekh loon tumhe yun mujhse roz naye bahaane banaya na karo kahin neeyat mein khot na aa jaaye mere kabhi yun mohabbat ke liye mujhe tarsaya na karo jaante ho main deewaanaa hoon tumhaare liye haalat pe mere is tarah muskuraya na karo

Zindagi Yeh Khushiyon Ki Sham Laai Hain ...

waqt ne kuch is tarah se li angdaai hai ki zindagi hum par fir se muskuraai hai jab mile chaar logo se to maaloom hua samjhe the zindagi ka naam tanhaai hai jisse dar kar ab tak bhaag rahe the hum maaloom hua woh apni hi parchhaai hai baahen failaake jab humne aawaaz di tab zidagi hamaare baahon mein laut aai hai dil chaahta hai ab khushi se jhoomna zindagi yeh khushiyon ki shaam laai hai

Tujhe Itna Pyaar Karte Hain ...

Badalna aata nahi humko mausamon ki tarah Har ek rut mein tera intejar karte hain Na tum samet sakogi jise qyamat tak Kasam tumhari tumhe itna pyar karte hain…

Pyaar Ka Izhar Zarori To Nahi ..

Dil Ke Lut Jane Ka Izhar Zarori To Nahi !! Ye Tamasha Sare Bazar Zarori To Nahi !! Mujhe Tha Ishq Teri Rooh Se Or Ab Bhi Hai !! Jism Se Ho Koi Sarokar Zarori To Nahi !! Mein Tujhe Toot Ke Chahon Tu Meri Fitrat Hai !! Tu Bhi Ho Meri Talabgar Zarori To Nahi !! Ae Sitamgar Kash Zara Jhank Meri Ankho Mein !! Muskara Kar Pyar Ka Izhar Zarori To Nahi !!

Bahut Tujhe Chaha ...

Bahut Tujhe Chaha Aur Bhulaya Bhi, Tere Bin Ji Nahi Sakta Tujhe Bataya Bhi.. Kon Si Cheez Thi Meri Jisko Tujhse Juda Samjha, Tujhe Is Haseen Zindagi Ka Haqdaar Banaya Bhi.. Teri Chahat Ka Yeh Tareeqa Samajh Nahi Aaya, Kabhi Tu Lagta Apna Hai To Kabhi Paraya Bhi..!!

Ek Baat Sochna ..

Jab Furst Mile To Ek Bat Sochna Guzre Hain Jo Sang Wo Halat Sochna Khusiyon Se Bhare Har Lamha Sochna Kahan Hui Thi Pehli Mulaqat Sochna Main Acha Hun Ya Bura Hun Ye Bat Sochna Kya Kabhi Chora Mene Tumhara Sath Sochna Honge Bahut Dost, Bahut Se Pyaar Karne Wale Kitni Munfrd Hai Sab Se Meri ZAAT Sochna..!!

Teri Aankho Ki Shararat...

teri aankho  ki shararat meri hasi me haya bhar jati hai har aahat tere hone ka  vaham ye mujhe de jati hai kashmkash me rahti hai nighahe  jab parchhayi meri saath chalne lag jati hai jab naam koi tera puchhta hai to haste lajate hotho ko dabate chunni meri ungli me fas jati hai

Kahna Chaha Tha Par....

kahna chaha tha par kah na paye hum ek khamoshi me the usse ubhar na paye hum aankho me dikhte sapno se dur ho na paye hum jab karib aana chaha tumse taqdir se lad na paye hum khayalo me milte hai tumse jise haqikat me badal na paye hum fir b ek aas hai intezar me kyuki tumhe kabhi bhula na paaye hum..

Mere Ashko Ko Na Samagh Paaya Wo...

mere ashko ko na samajh paya wo mere lafzo ko na samajh paya wo u chali meri kasti kuch aise ki meri masti ko na samjh paya wo raato me bikhari yaade khil khilati hasi aur wo baate fir khamoshi me dil dub jaye.. meri ankahi baato ko na samjh paya wo kuch kaha usne aisa jaise suraj ne chaand ko dekha masti huyi sharam se haya jaise chunar me simte duniya nadan thi mein jo.... apne hi dil ko na samajh payi mein wo aashiq aisa rutha ki wo saath aise chhutha... ki meri uljhano ko na samajh paya wo pyar ek dhokha hai fir b kisi dil ne na isse roka hai... ye baat na samjh payi mein ye baat na samjh paya wo!!!

Teri Yaad Ko Seene Se Laga Kar Roye...

Teri yaad ko seene se laga kar roye, Hum tasuwar mai tujhe pas betha kar roye, Tujhko so bar pukara shab_e_tanhayi mai, Aur har bar tujhe pas na pa kar roye, Kabhi zindagi se gela karke roye, kabhi moat ki hum Dua karke roye, Ajab silsila hai Nezam_e_muhabbat ka Qaza karke bhi roye Ada karke bhi roye,,,,,

Waqt Badalta Hain ....

Waqt badalta hai, mausam badaltey hain.. Kuch rishte aise hai, jo har pal mehakte hain..!! Sukh ho ya dukh, wo saath dete hain.. Samjhane ke tareeke alag alag.. Pyaar se na samjhe 'gar.. to fatkaar dete hain..!! Zindagi inhi rishto ki mehak se poori hai.. Aage badhte hue, kabhi kabhi yun hi thamna zaroori hai !! :)

Unko Abhi Bhulane Mein Thodi Der Lagegi..

mausam ke badalne mein thodi der lagegi phoolon ke khilne mein thodi der lagegi geeli hain yeh lakdiyaan kai mahino se abhi in ko jalne mein thodi der lagegi honth sukhe hain baarish ke naa hone se abhi to muskuraane mein thodi der lagegi aansoo soch rahe hain ki nikle yaa nahin unhe nikalne mein abhi thodi der lagegi abhi tak to unhe samajh hi rahe the hum khud ko samjhaane mein thodi der lagegi puraane woh zakham abhi sukhe nahi hain hum ko sambhalne mein thodi der lagegi kisi aur se mohabbat hum ab kaise karlen unko abhi bhulaane mein thodi der lagegi

Yaad Aati Hain Us Bewafa Ki...

Usse bichhar ke ye apni haalat ho gayi hai Raton mein roj jagne ki aadat ho gayi hai, Yaad aati hai us bewafa ki har bat mujhko Ki unse mujhko mile muddat ho gayi hai, Andhere itne bhah gaye hai ab dil ko ki Ujale se sakht nafrat ho gayi hai, Sach kahenge to pathar marenge, sine par Warna , jhuth ki jamane mein , shohrat ho gayi hai, Padh-Padh kar galib teri gajle teri shayri Mujhe bhi gajal likhne ki aadat ho gayi hai, jalaye the jo chirag-e-chahat Dosto ,jamane se chhup kar kabhi Bas ab un chiragon ko bhujaane ki aadat si ho gai hai..

Tum Sabse Azeeb Ho..

Sulag rhi hai dil me aag bujhaau kaise, Kahani halat ki tumko mai batau kaise... Mere mahboob kayamat ki ghata chaayi hai, ye ghatayein aarzoo-e-aasmaan se hatau kaise.. machal rahain hai dabe hue armaan kahin, inka aks gumnaam galiyo se mitaau kaise.. tera jikar aata hai to uljhan bhi sulajh jaati hai, tujhe jindagi mai sbki nazar se bachau kaise.. Log sunate hain to jazbaato ki hasi karte hain, mohobbat kitni haseen hai sbko jatau kaise.. Tera her pal mere neendo ko khawab deta hai, wo khubsurat lamhe apne jahan se bhulau kaise.. Chhod do is baar meri tamam khwaisho ki, Tum sabse azeeb ho tumhe kismat se churau kaise..

Tujhe Paane Ki Iss Liye Zidd Nahi Karte...

Image
Tujhe paane ki Iss Liye Zidd Nahi karte ke Tujhe khone ko Dil nahi karta, Tu Milta hai Toh iss Liye Nazre Nahi Uthaate ke Phir Nazren Hataane ko Dil Nahi karta, . Dil Ki Baat Iss Liye Tujhse Nahi Karte ke Apna dil dukhane Ko dil Nahi karta, Khwabon mein Iss Liye Tujhko Nahin Sajaate ke Phir Neend Se jaagne ko DilNahi karta...

Har Lamha Teri Furkat Mein...

Jis Mor Pe Hum Ko Chor Gaye Hum Baithe Ab Tak Soch Rahe Kya Bhool Hui Kyoun Juda Huwe Bus Yeh Samjhane Aa Jao Har Lamha Teri Furqat Mein Hum Tarste Rahe Meri Mano Tum Is Dil Ko Kuch Pal Behlane Aa Jao..

Pyaar Karta Hun Magar ...

Yaad me teri aaj bhi har raat rota hu,  soyi hai meri nind me kaha sota hu, Yaad aati hai toh seh leta hu,  tanha raato me khudse ye keh leta hu,  bhul gyi hai tu mujhe na jane kiss bhul k liye Dil me basa hai dard hoth hai ye siye,  pr bhula du tujhe aisa main hu nahi,  nahi janta kya hai galat kya sahi?  bas ab yehi soch raha hu, teri yaadon me tujhe khoj raha hu,  chhod kr mujhe ho gayi hai tu itni dur, daba lia hai dil me hi hr jazbat itna hu majbur  janta hu tu nahi hain ab mudne wali, pr tere bina meri ye dunia rahegi khali  ji raha hu, aage bhi ji lunga,  pyaar krta hu magar ab teri chahat nahi krunga..