Posts

Showing posts from May, 2014

Nazare Mile To Pyar Ho Jata Hai...

Nazare Mile To Pyar Ho Jata Hai, Palke Uthe To Izhaar Ho Jata Hai, Na Jane Kya Kasish Hai Chahat Main, Ke Koi Anjaan Bhi Hamari Zindagi Ka Haqdaar Ho Jata Hai….

Wo Muskurata To Hoga...

Khirki Main Rakha Mera Diya Hua Aik Tohfaa Achanak Kabhi Dekh K Wo Muskarata To Hoga.. Gulshan Ke Us Ki Fizaa Kaisi Bhee Ho Magar, Hawa Ka Ik Taza Jhonka Use Mehkata To Hoga...

Tumahra Chehra Mujhe Har Sham Nazar Aaya..

tumhara chehra mujhe har sham nazar aaya gehre zakhmon mein tumhara naam nazar aaya aankhen meri geeli rahi tum se mili choton se aur mujhpar hi har qatl ka ilzaam nazar aaya tumne jab bhi dawa kiya apni mohabbat ka bas mere hi barbadi ka intezam nazar aaya wade tumne bahut kiye har wada nibhane ka wadon mein bewafai ka paigham nazar aaya aaghaz khoobsurat tha hamari mohabbat ka magar dhokha hi chahat ka anjam nazar aaya itna dard diya hai mujhe zindagi ne ab tak ki maut ko gale lagane mein hi aaram nazar aaya..