Posts

Showing posts from February, 2014

Jaise Hua Karti Thi ...

haan aaj bhi ye raat waisi hi hai jaisa hua karti thi, raat me pyaar ki wo baat waisi hi hai jaisa hua karti thi, aaj bhi mere khwaab me tum mere baahon ke ghere me hoti ho, angraayi waise hi leti ho jaisa ki pehle liya karti thi, ye doori ka ehsaas hota hai jab main aankhen kholta hoon, band aankhon me mere paas hoti ho jaise pehle hua karti thi, ye pyaar bhi waisa hi hai, ye khumar bhi wisa hi hai, bas doori jismon ki hai, par dil me aaj bhi ho jaise hua karti thi....

Pyaar Kar Loon ..

ek baar fir se main tujhse milke tujhe pyaar kar loon, tujhe baahon me bharke main fir se iqraar kar loon, kahin beet na jaaye ye mausam mohabbat bhara, tere pyaar ko main jeewan bhar k liye sweekar kar loon, kya pata kal na rahe ye mausam jaisa aaj hai khila, aaja mere sanam mere kareeb ki main tera aetbaar kar loon, chhoo loon hothon ko tere apne kaanpte hothon se, ki ek baar fir se main apni hasratein poori kar loon, kho jaun zulfon me main tere aaj kuch is qadar, thoda khud ko paagal aur thoda tujh ko dewana kar doon, aaja meri baahon me aake bikhar ja tu fir ek baar, tere jism ko khud me lagake main khud se thoda pyaar kar loon...

Dil Ki Baat ...

Image
kuch ehsas dil ke dil mein dabe reh jaate hain chahkar bhi hum zuban tak laa nahi paate hain kabhi bandhan zamaane ke humein kehne dete nahi kabhi hum apne andar ke dar se hi dar jaate hain samjhaate rehte hain dil ko ki wo hamara nahi dheere dheere haqeeqat se dur chale jaate hain jisko kabhi dil ki baat bata paaye hi nahi hum dekh uski tasveer bas yunhi khush ho jaate hain

Tere Karan Dewana Hua ..

barson bad jo teri yaadon ka aana hua chhalakta sa aankhon ka paimana hua koshish ki rok len bundon ko aankhon mein par bundon ka bas yunhi beh jana hua jinhe dil ke sandook mein band rakha tha un yadon ka, aaj achaanak hi aana hua na koi dastak na hi koi aawaaz di unhone aa ke meri khamoshi ko chhed jana hua yaad aayi woh teri gehri do aankhein humein un aankhon mein hamara doob jana hua  dhundte rahe hum saahil ko majdhar mein  aur saahil se meelon dur chale jana hua khoye kuch is tarah hum teri yaadon mein hamara firse khud ko bhool jana hua khud ko badal ke insaan banne chale the hum 'Aryan' firse tere karan dewana hua

Tujhe Main Aaj Kya Inaam Dun....

kya tohfaa tujhe main aaj ki haseen sham dun keh dun bahaar tujhe ya main koi aur naam dun kaanpte geele lab tere jo kareeb aa jaayen mere main un labon ko tere apne labon ka jaam dun tadap badh jaaye jab tere dhadkano ki kabhi  seene se laga kar apne main tujhe aaram dun umar bhar baitha rahun tere nazar ke saamne apni nazron ko bas tujhe dekhne ka kaam dun koi haseen ghazal likh dun naam par main tere yaa bas ishaaron se hi tujhe koi paighaam dun dene ke liye tujhe chaand bhi tod kar laa dun tu hi bata de tujhe main aaj kya inaam dun...

Hum To Kisi ko Bhula Na Sake...

Taqdeer ne jaise chaha dhal gaye hum, bahut sambhal ke chale fir bhi fisal gaye hum, hum to kisi ko bhula na sake,  fir bhi sabko laga ki badal gaye hum..

Khwaish Thi Ruthi Jaan Ko Manane Ki ...

Khwaish Thi Ruthi Jaan Ko Manane Ki, Uske Aanchal Mein Tut Ke Bikhar Jane Ki, Jab Pahucha Uske AANGAN Mein To Dekha, Wo Dua Kar Rahi Thi Kisi Aur Ko Paane Ki..

Ab Chaahat Ki Zarurat Hai...

khamosh si zindagi mein thodi shararat ki zarurat hai tadap raha hoon main kabse mujhe rahat ki zarurat hai ab aur achcha nahi lagta mujhe ansuon ke bich rehnaa udas se is chehre par thodi muskurahat ki zarurat hai bahut tanha hoon, bahut soona hai mera jahan sara dhund rahi hain aakhein meri, kisi aahat ki zarurat hai kab tak yun hi bandhe rahen hum unch nich ke bandhan se ab mohabbat ki khaatir thodi si bagaawat ki zarurat hai safar mein zindagi ke hain har shaqs ne thukraya mujhe  bahut ji chuka nafraton mein ab chaahat ki zarurat hai

Bhule The Tum Pehli Mulaqat Mein...

bhule the tum pehli mulaqat mein tumhara wohi main rumal laya hoon kya dun tumhe main samajh paya nahi tumhare liye gulaab laal laya hoon rang jaaye khushiyon ke rang se zindagi sath chahaton ka gulal laya hoon na karna shikayat pas na hone ki kuch pal fursat ke filhal laya hoon

Ye Dil Pyaar Ke Qaabil Na Raha...

Ye dil pyaar ke qaabil na raha, Koi bhi izhaar ke qaabil na raha, Iss dil mein Iss Qadar bas gayi hai surat unki Ki ab to chaand bhi deedar ke qaabil na raha

Ye Ishq Bada Badtamiz Hain ...

Yeh ishq bada badtamiz hai,  ruhani taqato se badi yeh chiz hai, karne ko kya kuch nahi kr jata hai, rote ko hasa or haste ko rula jata hai, malum nahi pane ke bad kyon khone se darta hai, ye payar hi toh hai jo har nafarat ka karan banta hai, payar hi banta hai jine ki wajah, fir na jaane kyon iski chahat me milti hai saza, bekarari besabri bechaini ke bawjud esme ajib sukun hai, mohobat chaht ibadat ka ye ajib junun hai, deta hai dil pe yeh kabhi na kabhi, hote hai wakif es ehsas se sabhi, par hasil ho sbko ye nahi hai jaruri, hota hai ye khel nasib ka ya hai ye koi majburi..

Samne Nigahon Me Tum Raho ...

Samne Nigahon Me Tum Raho Or Ghazal Main Kehta Rahoon Tanhaai Jis Me Tera Hi Khayal Ho Mehfil Main Kehta Rahoon GuleTaza Jis Me Shabnam Sawere Hi Sawere Chamakti Ho Ashkon Ko Shabnam Aur GuleTaza ko Dill Main Kehta Rahoon Subah Sham, Mah-o-Khursheed Ko Aaina Dikhaayaa Kere Jo Daikh Tumhe Apni Nigah Ko Wo Nili Jheel Main Kehta Rahoon Dua Hai Dill Se Wafaa Nibhaon Me Zamane Bhar Me IsTara Har Bar Tera Zikr Teri Hi Bat Teri Mehfil Main Kehta Rahoon Mere Lafzon Me Teri Chamak Aur Khyalat Me Teri Hi Mahek Dua Ker Ke Yuhi Har-Dill-Azeez Ghazal Main Kehta Rahoon  Samne Nigahon Me Tum Raho Or Ghazal Main Kehti Rahoon Tanhaai Jis Me Tera Hi Khayal Ho Mehfil Main Kehta Rahoon

Mujhe Talash Hain Uski Jo Mere Jaisi ho ...

Na wo pari ho Na pari Jaisi ho.. Mujhe Talash hai uski jo mere Jaisi Ho.. Mere dil ko Pehnchanti ho Bus Kafi hai.. Woh Koi bhi ho Kahin bhi Ho Kasi bhi Ho.. Ager kabhi Ruth jaon main us se To.. Muskura ke Manaye Wo aisi ho.. Dukhon main Hasane ka Hunar Janti ho.. Ek aisi Hum Safar Jo Samander ki tarah Gehri ho.. Umer Bhar Sath chale Woh Aisi ho... Mujhe talsh hai uski Jo mere Jaisi ho.