Posts

Showing posts from October, 2012

Muskil Is Dunia Me Kuch Bhi Nahi..

Mushkil is dunia me kuch bhi nahi, phir bhi log apne irade tod dete hai, agar sacche dil se mango kuch, to sitare bhi kisi ke liye apni jagah chhod dete hai.

Sath Humara Pal Bhar Ka Sahi...

Saath Humara pal bhar ka sahi, par woh pal aise jaise koi kal nahi rahe zindagi mein shayad phir milna humaara par mehekti rahengi tumhari yaadein humare sang sahi...

Hasrat Hai Aapko Sacha Dost Banane Ki..

Hasrat hai apko sacha dost banane ki, or khwahish nahi kuch pane ki, shikwa humse nahi khuda se karo, kya zarurat thi apko itna acha banane ki,,,,

Haskar Chahe Jaan Hi Maang Lo...

Pyar se chahe arman maang lo  ruthkar chahe muskan maang lo  bus tmanna ye hai ki na dena kabi aansu  fir haskar chahe jaan hi mang lo...

Dil Se Yaad Karo To Ek Tasweer ...

Dil se yaad karo to ek tasweer tumhari hai Har pal mehsus kiya woh sath tumhara hai Ek aks dhoonda hai maine woh tum ho kuch bhi kaho bus yaar hamare tum ho...

Yaado Me Humari Aap Bhi Khoye Honge..

Yaado Me Humari Aap Bhi Khoye Honge, Khuli Aankho Se Kabhi Aap Bhi Soye Honge, Mana Hasna Hai Ada Gam Chhupane Ki Par Haste Haste Kabhi Aap Bhi Roye Honge…

Tumahri Kasam Bahut Yaad Aate Ho...

Mat pucho ye mujhse ki kab yaad aate ho , jab jab sansein chalti hai bahoot yaad aate ho.. neend mein palkein hoti hai jab bhi bhari, banke khwaab baar baar nazar aate ho.. mehfil mein shamil hote hain  hum jab bhi, bhiron ki tanhayon mein har baar nazar aate ho.. jab bhi socha ki faasla rakhoon main tum se, zindagi ban ke saanson mein sama jate ho.. khud ko toofan banane ki koshish to ki, ban ke sahil apni aagosh mein sama jate ho.. chaha na tha maine is paheli me uljhana, her uljhan ka jawab ban ke ubhar aate ho.. suraj ki roshni,chanda ki chandni, aasman ko dekhta hoon main jab jab, tumahri kasam bahut yaad aate ho.. Ab na poochhna mujhse ki kab kab yaad aate ho....

Kisi Ka Hokar Bhi Kyon Khud Se Juda Hain Hum..

kyo kuchh ehsas nahi hota , log hai har taraf fir bhi tanha hai hum, pyar se hi nahi zindagi se bhi juda hai hum, safar me to hai par humsafar nahi hain, kisi ka hokar bhi kyon khud se juda hai hum, tut tut kar thak gaye hai fir bhi kyon zinda hai hum, shayad kisi apne se nahi khud se khafa hai hum..

Pyar Se Badkar Koi Dusra Nahi..

Dil todna aasan hai jaroor , par yaar ko manana aasan nahi.. zindagi me pyar hota hai jaroor, par pana jaruri to nahi.. agar zindagi mai koi mil jaye, jisse pyar karo tum, to izhar karna jaruri to nahi.. agar ho jaye to yaad rakhna,  pyar se badkar koi dusra nahi...

Kash Kaha Hota Tumne Hame Khushi Chahye...

kash kaha hota tumne hame khushi chahye, hum duniya bhar ki de dete.. kaha hota khwaish puri karne ko, hum ek bhi arman baki nahi rakhte.. kaha hota tare tod lane ko, sara akaash le aate.. kaha hota phool lane ko, gulshan le aate.. kaha hota jaan de dene ko, haste haste de dete.. par tum to wo mang baithe, jo mere bas me nahin, tum se juda hokar jee pana..

Zindagi Se Badkar Hain Tu...

teri likhi panktiya , mere dil ko chhoo jati hain.. aur hamare tere hi liye likhe gazal, tujhe chhoo nahi pate hain.. kya kya na chaha zindagi se, har khwab kahan pure ho pate hai.. kaanch tootne ki awaaz na aayi abhi, us awaaz ke dar se ashq behte jate hai.. tum to har bar keh jate ho na rona, hum hi khud ko sambhal nahi pate hai.. tu saath hai har pal shayad, fir bhi tera daman chhutne ke dar se, saham jate hain... zindagi se badkar hai tu , fir bhi tujhe kuchh hum de nahi paate hain.. pyar se zyada mila hai tujhse, kuchh pal ko fir bhi adhure se reh jate hain.. kya kya na chaha zindagi se, har khwab kahan pure ho pate hai...

Wo Chala Gaya Dil Tod Ke..

Hum rote rahe log hum pe hasate rahe, qatil katl karke chala gaya aur hum dekhate rahe.. hum ne kaha hume pyaar hai usse, tab log hume badmijaj  kahete rahe.. wo chala gaya dil tod ke, aur log humara janaja has haske sajate rahe..?

Shayad Sach Me Kisi Ko Mohabbat Karne Lage The Ham

Image
Jane kaise anjani si rahon par chalne lage the ham, jane kyu khud ko unke liye badlne lage the ham.. duniya kehti thi tera kasoor nhi hai, shayad kisi ko pyar karne lage the ham.. waise to kabhi koyi yaad aata nhi tha, par unhe har pal yaad karne lage the ham.. khud bechaini li, unhe har khushi dekar. shayad un par mar mitne lage the ham, yaaro sab kuch achha lagta tha tab. par hame kya pata tha ki, apne hi hatho se aansuo ki taqdeer likhne lage the ham.. ehsaas to tab huwa jab dil kanch ki tarah tuta, shayad sach me kisi ko mohbbat karne lage the ham...

Chaand Ki Aarzu Kiya Karte Hain..

Nakaam si koshish kiya karte hain, Hum hain ki unse pyar kiya karte hain, Khuda ne takdir me ek tuta tara nahi likha, Aur hum hain ki chaand ki aarzu kiya karte hain...

Na Jaane Tum Pe Yakin Kyon Hain..

Na jaane tum pe itna yakin kyon hai? Tera khayal bhi itna haseen kyon hai? Suna hai Pyar ka dard meetha hota hai; to aankh se nikla ye aansu namkeen kyon hai? 

Ham Unke Liye Apni Jindagi Gawa Baithe..

Image
dil se roye magar hotho se muskura baithe yeh hai ham kisi se wafa nibha baithe wo hame ek lamha na de paye apne pyar ka aur ham unke liye apni jindagi gawa baithe...

Maine Aaina Dekhna Chhor Diya..

Maine aaina dekhna chhor diya q ki koi  ab ye nahi kehta ki tum achche dikh rahe ho....  jab koi kehta tha to ye soch k aaina dekh  lete the ki shayad kuch aur nikhaar laa sakun is chehre pe.....  ab to aaine se dar lagta hai ....  jaane kaisa dikhta hoon main..... 

Apno Ne Hi Bana Diya Gair...

Maloom tha tujhe saanse hamari ruk jaati hain tere bagair, Phir kyun wafa ka chhal karke tune ek pal me hume bana diya gair, Shikwa ya shikayat kya kare hum bewafai ki auro se, Kismat to hamari aisi hai ki hume apno ne hi bana diya gair....

Saanse Hamari Apse Judi Hain..

Saanse hamari apse judi hain shayad apko malum nahi, Hum aapko bhool jayen ye hamare bas me nahi, Aap hi to hain jisne hume Zindagi ko jeena sikhaya, Hum apni Zindagi ko bhool jaayen ye to mumkin nahi....

Mere Saanso Ko Uski Zaroorat Hai To Hain...

wo nahi mera magar usse, mohabbat hai to hai... ye agar rasmo riwazo se, baawai hai to hai.. sach ko maine sach kaha, jab kah diya to kah diya, ab zamane ki najar mein, ye himmat hai to hain.. dost ban kar dushmano sa, wo satata hai mujhe, fir bhi us zalim pe marna , apni fitrat hai to hain.. kab kaha maine ke wo mil jaye mujhko, uski bahon me dum nikale, itni hastrat hai to hain.. sath hai to zinda hun, mere saanso ko uski zarooart hai to hain..

Chhupa Loon Tumko Is Tarah Se..

giraoon apni palkein aur sabse, chhupa loon tumko.. apni aankhon mein is tarah se, chhupa loon tumko is tarah se.. tu paglon ki tarah , khud ko mujhse maange.. kuchh is tarah se tum hi se, chura loon tumko.. tu Ibadat ki tarah hain,  muqaddas mere liye.. kabhi aankhon se to kabhi dil se, laga loon tumko.

Sheeshe Sa Badan Naadan Hain Dil...

Gulabon se lipti shabnum ki tarah , uski aadayen hain mausam ki tarah .. sheeshe sa badan naadan hain dil, ek ladki hain gazal ki tarah.. palkon pe ruki woh meri zindagi, milti hain mujhse khwabon ki tarah.. khafa jo mujhse bhaiti hai dur, chaha hain use zindagi ki tarah.. banke badal jo dil pe chhayi hain , aankhon mein bhikhri thi kaajal ki tarah.. jaanegi jab meri mohabbat ki intehah, dhundegi woh mujhe dewano ki tarah.. kahte hain log "pyaar" jise, hame woh kiyaa ibaadat ki tarah...

Chaand Taaron Se Saje Raat..

Chaand Taaron Se Saje Raat Bhala Kya Maange Jis Ko Mil Jaaye Tera Saath Bhala Kya Maange. Lab Pe Aayi Na Duaa Aur Qubool Ho Bhi Gayee. Ab Duaaon Mein Uthey Haath Bhala Kyaa Maange. Jis Ke Khwaabon Ki Ho Takmeel Usey Kya Gham Ho. Mil Gayee Jis Ko Kaainaat, Bhala Kya Maange. Manzil-e-Ishq Se Aage Bhi Qadam Kya Jaaye. Rang-e-Mehndi Se Saje Haath Bhala Kya Maange. Paa Liya Jis Ke Andheron Ne Roshni Ka Sabab. Us Ke Mehke Hue Jazbaat Bhala Kya Maange ….

Aaj Ye Aaina Bhi Sharma Raha Hain...

aaj ye aaina bhi sharma raha hain dekh k tujhe sara wo chilman bhi hasta raha hain dekh k tujhe tere hotho ki lali jaise gulab ki chhoti kali sunhari chehre pe bhawra mandra raha hain dekh k tujhe nashili ankhon me laga kajal teri yaad dilaye tere bikhre gashu andhera saja raha hain dekh k tujhe tere gulabi galo ne khanjan me fisal jaye ham  dil me koi ishara lalcha raha hain dekh k tujhe karke jara sa shringar kitna nikhar jate ho tum aaj chand bhii chandni se bata raha hain dekh k tujhe

Bahut Kuch Kho Kar..

Bahut Kuch Kho Kar Bhi Hum Aur Kya Paate Hain. Kuch Apno Ko Bhool kar Parayon Se Dil Lagate Hain.... Jaante Hain Hum Chakoor Chand Chhu Nahi Sakte...... Phir Bewajah Kyun Hum Unpe Jaan Lutate Hain…

Thahar Gaya Tha Koi Waqt Ki...

thahar gaya tha koi waqt ki nishani ban ke woh bhi beh gaya aaj aakhoon ka pani ban ke ek umar se sambhala tha humne jo dariya baha le gaya woh use ek raat tufaani ban ke..

Apne Bajuon Mein Chhupa Lo Mujhko...

Apni Haseen Ankhon mein Chupa Lo Mujhko, Mohabat Agar Krte Ho To Chura Lo Mujhko, Khone Ka Agar Khaof Hain To, Dil Ki Har Dharkan Mein Basa Lo Mujhko, Dhoop Ho Ya Sehra Ho Tere Sath Chalenge, Yaqeen Na Aaye To Aazma Lo Mujhko, Tere Dukh Ko Seh Lenge Hans Kar, Apne Badan Ki Chadar Bana Lo Mujh ko, Sahil Se Pehle Chhor To Na Doge, Abhi Aghaaz-e-Safar Mein Bata Do Mujhko, Zindgi Bhi Tere Nam Kar Denge, Apne Bajuon Mein Chupa Lo Mujhko...

Humein Ab Yun Satao Na..

Image
Suno Tum Maan Jao Naa Humein Ab Yun Satao Na Tumhare Bin Humein Jeena Gawara Ab Nahi Hota Tumhe Kaise Kahun Tum Bin Guzara Ab Nahi Hota Humein Apna Bana Lo Tum Tumhara Ban K Rehna Hai Mujhe Dukh Hijar Ka Janam Nahi Ab Aur Sehna Hai Kayi Sapne Sajaye Hain Ab In Mein Rang Bhar Do Na Tumhein Meri Kasam Jaana Tum Mere Sang Chal Do Na Mujhe Ab Aur Rulao Na Suno Tum Maan Jao Na.

Dard Muskurate Hai Ab Bhi Teri Aahat Par...

zakham muskurate hai ab bhi teri aahat par, dard bhool jate hai ab bhi teri aahat  par.. sabnami sitaron me phool khilne lagte hai, chaand muskurate hai ab bhi teri aahat par.. umra gujar rahi lekin bachpana nahi jata hai, hum diye jalate hai ab bhi teri aahat par.. ghantiyan si bajti hai raqs hone lagta hai, dard jagmagate hai ab bhi teri aahat par.. teri yaadein aayein to neend jati rahti hai, khwaab toot jate hai ab bhi teri aahat par... jo sitam kare tu sab kabbol hai dil ko, hum khushi mangte hai ab bhi teri aahat par.. ab bhi teri aahat par "aryan" muskurata hai, khwaab gungunate hai ab bhi teri aahat par..

Na Tujhe Chhor Sakte Hain...

Na tujhe chhor sakte hai , tere ho bhi nahi sakte , ye kaisi bebasi hai , aaj hum ro bhi nahi sakte hai... ye kaisa dard hain, har-pal humein tadpaye rakhta hain, tumahri yaad aati hai, to fir so bhi nahi sakte.. chhupa sakte hain, aur na dikha sakte hai logon ko, kuchh aisa daag hain, dil par jo hum dho bhi nahi sakte.. kaha to tha chhor denge tumko, fir ruk gaye lekin, tumhein paa to nahi sakte, magar chhor bhi nahi saktein.. Hamara ek hona bhi, nahin mumkin raha ab to, jeeyein kaise ke tumse dur hoke, rah bhi nhi sakte..

Bahoot Taklif Deta Hain Tumko Al-Vida Kehna...

bahoot taklif deta hai tumko Al-vida kehna.. dikhai kuch nahi deta , sunayi kuch nahi deta.. Faqat kuchh kap-kapate lafz, jo hothon par theher jayen.. ubharti doobti dhadkan, tumhe awaaz deti hai.. koi apna ke jiska naam apne dil pe likha ho, ke jiske waste dil se duwayein hi nikalti ho.. jise dil mein basaya ho, tan-Mann se jisko apna banaya ho.. Bahoot takleef deta hai tumko Al-Vida kehna...

Chahte Hain Tumhe Apni Jaan Se Bhi Zyada..

Jhuti Tasliyon Ki Zaroorat Nahi Mujhe, Keh do Kisi Ke Pyaar Se Fursat Nahi Mujhe, Yeh Bhi Nahi Ki Main Tumhe Ilzam De Sakun, Yeh Bhi Nahi Ki Tumse Shikayat Nahi Mujhe, Chahte Hain Tumhe Apni Jaan Se Bhi Zyada, Chaho Bewafa Kaho Koi Aitraaz Nahi Mujhe, Main Bhi Tumhari Yaad Ko Dil Se Bhula Doon, Par Kya Karun Ki Itni Bhi Ijazat Nahi Mujhe…..

Mohabbat Kam Nahi Hoti...

Thandi hawa ka jhonka bhi ab to chhu kar guzar jata hai,  Kho kar teri yaad me ye tanha dil bikhar jata hai, Kabhi wafa ki Roshni khatam nahi hoti, Lakh gum mile phir bhi aankh nam nahi hoti, Ye kaisa silsila hai tere-mere darmiyan, Fasle bahut hai magar mohabbat kam nahi hoti

Mili Hain Badi Saza Unse Dil ..

Mili Hai Badi Saza Unse Dil Lagane Ki Nazar Lag gayi Hamare pyar ko zamane ki Khabar Se Nikle Hue Dono Hath Kehte Hain Aarzoo Reh gayi Use Gale Lagane Ki..

Yad To Har Koi Karega..

Yaad to har koi karega jaane ke baad, sache pyar ka pata chal jaayega waqt aane ke baad, kaun kitni mohabbat karta hai, nazar aa jayega mar jaane ke baad

Yad Mein Teri Aankhe ...

Yaad mein teri aankhe bharta hai koi, har saans ke saath tujhe yaad karta hai koi, maut to sachai hai aani hai, lekin teri judaai mein har roz marta hai koi….!

Tumahri Aankon Me Aa Hi Jata Hun..

Zindagi se bhi lambi meri gam ki andheri ratein hai subah ka intezaar karte karte thak gaya hoon mein aansuon ko bahut samjhaya ki tanhai mein ayaa karo, mehfil me mera majak mat udayaa karo, is par aansoo tadap kar bole, itne logo me tumhe tanhaa pate hein, isliye tumahri aankhon me aa hi jaata hun……

Zindagi Aur Bata Tera Kya Irada Hain...

Zindagi Aur Bata Tera Kya Irada Hai, Loot Liya Sab Kuch Mera, Aur kya Lootne Ka Irada Hai, Zindagi Aur Bata Tera Kya Irada Hai, Roya Bahut Main Mera Pyar Jab Cheena Tune, Sukh Gayi Ye Aankhen, Dard Koi Ab Na Mehsoos Hota Hai, Zindagi Aur Bata Tera Kya Irada Hai, Khata Ye Thi Ki Pyar Kiya Maine, Chaha Har Pal Har Ghadi Use Maine, Iska Ye Sila Diya Tune Ki Ab Pyar Na Hota Hai, Zindagi Aur Bata Tera Kya Irada Hai, Dua Mein Bus Auroon Ke Liye Haath Uthaye Maine, Khushion Ke Liye Uski Har Sitam Uthaya Maine, Kisi Ke Liye Ab Kuch Na Maanga Jata Hain, Zindagi Aur Bata Tera Kya Irada Hain, Pooja Usko Tha Khuda Kii Tarah Maine, Khushion Mein Uski Har Khushi Dhoondi Thi Maine, Tune Aaj Hasna Bhula Diya Hai, Zindagi Aur Bata Tera Kya Irada Hai??.

Kisi Aur Ko Socha Bhi Nahi..

tumko maloom bhi shayd ye kabhi ho ki na ho....?? meri raatein teri yaadon se saji rahti hai, meri sansein teri khushboo mein basi rahti hai.. meri aankhon mein tera sapna saja rahta hai, haan mere dil mein tera hi aks basa rahta hai.. is tarah mere dil ke bahut paas ho tum , jis tarh paas hi sheh-e-rag ke khuda rahta hai.. tumko mallom bhi shayd ye kabhi ho ki na ho..?? mere aangan mein lage phol gawahi denge, maine arse se kisi phool ko dekha bhi nahi.. tujhko socha hai to phir tujh ko hi socha hai, tere siwa kisi aur ko socha bhi nahi.. tum ko mallom bhi shayd kabhi ho k na ho...!!

Aankhon Me Hi Saari Baat Ho..

Ae Kaash kahi phir se aaj wahi choti si baat ho . Phir ek baar teri mujh se ek pyari si mulakaat ho Mile hum tum ajnabi ki tarah aur dosti ki nayi shuruwat ho .. chalak jaaye aankhen aasuon se wahi masoom se jazbaat ho….. Bhulo na tum mujhe aakhri dhadkan tak chahe pal do pal ka saath ho kuch na bolein ek dusre ko hum Bas aankhon me hi saari baat ho…. Darr lagta hai tere jaane ke baad, ab judai se phir Mere khuda aisa kabhi na kisi ke saath ho….. .

Muhabbat Ki Kami Kyun Hain..

muhabbat ki kami kyun hai? tanhai meri sathi kyun hai? kbhi nhi jo chaha hum ne hamesha milta wohi kyun hai? dil ko aadat si ho gayi warna sab ye sehta kyun hai? pal pal marne ki khwahish me her pal aakhir sisakta kyun hai?

Tumahre Intezar Main Pal Guzarte Hain...

Na Inkar kiya Na Ikrar kiya Phir bi pyaar kar liya Na tumain chaha Na tumain manga Phir bhi apna  liya Na zindagi ruki Na saans chooti Phir bi duniya badal gayi Na jeete hain Na marte hain Tumare intezar main pal guzarte hain......

Mujhe Tumse Mohabbat Hain..

Main Kaise chor don Jeena bari mushkil se sekha hai, Pyaala zeher ka peena bari mushkil se seekha hai, Nahi ye ho nahi sakta main nafrat bhi karon tumse, kyon ki maine pyar hi karna bari mushkil se seekha hai, bara naazuk hai dil mera, is ka aitbar zara kar lu, Tumhare dard ko sehna bari mushkil se seekha hai, Main sab k saamne keh don mujhe tumse muhabat hai, tumhare saamne kehna bari mushkil se seekha hai...!

Kuch To Hua Hain Tere Milne Ki Baad Me..

Tera hi jikr aata hai har baat mein, kuch paaya kuch kho diya tere sath gujare waqt me.. neend bhi mujhse jaise rooth gayi hai aaj kal jagti aankho se sapne dekha karta hun rat me... aisa to pahle kabhi tha nahi main, kuch to hua hai tere milne ki baad me.. . mausam bhi un suhana na laga kabhi, beengne laga hun har barsat me.. tanhayio me baith kar kuchh sochne laga hun, jane kaise aansu aa jate hain meri inn aankh me... na bujhao sahama mere mahfil ki, main tanha nahi hun teri yadon ke sath me...

Unke Khayalon ,Mein Khoye Rahte Hain...

kyon koi door hoke bhi dil ke pas rahta hai, dil ke paas ho kar bhi kyon uska intzar rahta hai.. ye kaisa dard hain ,jo meetha sa lagta hain, mehfil mein hoon magar ,mujhe tanha sa lagta hain... kyon ham har pal ,unke khayalon mein khoye rahte hain.. unke hi khayalon se ,apni duniya sajaye rehte hain... kyon lagta hai ,ham unke bina adhoore hain.. mil jaaye agar woh ,to sare sapne poore hain 

Kya Iska Hi Naam Pyaar Hain...

Ek pal mein wo hasa dete hai… Duje hi pal mein khafa ho jaate hai… Khatti-Meethi Nok Jhok se… Hum ek duje ka dil behlate hai… Kya iska  hi naam Pyaar hai? Unke saath yeh duniya ab hari si lagti… Unke bina ajeeb sa suna pan hai… Durr sahi unka saath muje hai mehsoos hota… Baat na hone se Virana hai.. Kya iska hi naam Pyaar hai? Pal pal mujhe wo hai satate… Muje hi yaad karte hai har pal.. Fir bhi hai kyu itna itraate… Kabhi khushi ka to kabhi gum ka khumar hai… Kya iska hi naamP yaar hai? Pyaar hum dono ek duje se karte… Ladai ke mamle mein bhi aage hai rehte.. Pyaar bhi ladai bhi hai… Nazdikiyan – Tanhai bhi hai.. Kya iska hi naam Pyaar hai? Ek duje ke bina ek pal bhi na reh paate.. Fir bhi ladne ke baad dono hai itraate.. Ek duje ki galti maaf karna hai humne seekha Haan isi ka naam to pyaar hai…

Kuch Khwab The Mere Aankhon Me...

Kuch khwab the mere ankhon me tujhe paa lene ki chahat thi chand lafzon me hi kehta hun mujhe tumse bahut mohabbat thi pr tu kya jane chahat ko tujhe ho jati to puchta main Dil jab toot k rota hai Kya dard tumhe bhi hota hai Ye khwab haqeqat ho jaye Kisi apne jaise sangdil se Tujhe kash mohabbat ho jaye……

Jise Pyar Karte Hain Hum..

jinhe dhoondte hai sapno me , wo haqeqat me nahi hai.. jo haqeeqat me hai samne wo hamare sapno me nahi hai... jo dil me hai hamare wo hamare qareeb nahi hai.. aur jo qareeb hai hamare , wo hamare dil mein nahi hai.. jisse pyar karte hai hum , woh hamare baare main sochta nahi hai.. jo sochte hai humare bare mein, unse pyaar hum karte nahi hain... hum jinka intjar karte hai, woh kabhi aate nahi hai.. aur jo aate hai saamne , unka intjar hum karte nahi hain..

Tere Pyar Ki Aarzoo Thi...

tere pyar ki aarzoo thi jo mujhe mil na saka, dil main wo phool sajaya jo kabhi khil na sake... basi hai ek hi moorat mere dil mein, khoya jo tumhe fir waisa koi kabhi mil na saka... chhupaya hai tujhe palkon main khwab ki tarah, meri aankho ke samandar ko kinara mil na saka... dil ke raaste main koi iss tarah bhatke, ki doobta hi chala gaya koi sahara mil na saka... teri chahat main jane kitni door nikal gaya hoon main, par meri kishmat ek pal bhi tumahre sath chal na saka... hai ye meri duwa ki sada aabad raho tum, mile har wo sukh tumhe jo mujhe kabhi mil na saka...

Kash Koi Tumsa Hota

kaash koi tumsa hota , jo na kabhi naraaz hamse rehta.. sochte hum har lamha , har waqt unke hi bare mein.. fir bhi wo kehte hame, yaad karne wala koi hota .. is tarah hi yun gujar jati zindagi agar, wo kehte main nahi, meri yaadein hi sath hi rakhna.. to aarzoo bhi na karte, hum unse milne ki.. unki yaadon ke sahare, hi jiye chale jate hun...