Mere Saanso Ko Uski Zaroorat Hai To Hain...
wo nahi mera magar usse,
mohabbat hai to hai...
ye agar rasmo riwazo se,
baawai hai to hai..
sach ko maine sach kaha,
jab kah diya to kah diya,
ab zamane ki najar mein,
ye himmat hai to hain..
dost ban kar dushmano sa,
wo satata hai mujhe,
fir bhi us zalim pe marna ,
apni fitrat hai to hain..
kab kaha maine ke wo mil jaye mujhko,
uski bahon me dum nikale,
itni hastrat hai to hain..
sath hai to zinda hun,
mere saanso ko uski zarooart hai to hain..
Comments
Post a Comment