Posts

Showing posts from 2013

Meri Jaan Ho Tum ...

tum kya ho is baat se khud hi anjaan ho tum kisi ki mohabbat ho, kisi ki pehchaan ho tum bachche ke haath se khilauna toot jaaye agar uske chehre pe lautane waali muskaan ho tum jiska har sapna toota ho aaine ki tarah uske liye to poora hone waale armaan ho tum kisi ke paas daulat, kisi ke paas shohrat hai is gareeb ke liye to ab saara jahaan ho tum kabhi padhaa nahi, na hi jaana un kitaabon ko tum hi meri bible ho aur meri quraan ho tum saanson me basti ho, ragon ki rawaani mein ho jaanti ho tum bhi, mere liye meri jaan ho tum

Wo Laut Aayegi ...

zindagi meri fir se sambhal jaayegi kismat kuch dino mein badal jaayegi kabhi to hogi baarish is taraf bhi yeh banjar zameen bhi lehlahayegi abhi to bhatak gayi hai woh raasta panchhi apne ghosle mein laut aayegi paththar ka nahi bana dil uska kab tak meri mohabbat ko aazmayegi kabhi to nazar padegi uski mujh par tabhi meri haalat ko samajh payegi naraz hai woh mere kisi baat par ek din woh mujhe dekh muskurayegi

Hum Unke Intezaar Mein ...

hum unke intezaar mein apne hi shahar mein rahe band apni hi deewaaron mein, apne ghar mein rahe roshni yun gayi zindagi se unke jaane ke baad ki sau chiraag jalaakar andheron ki nazar mein rahe barsaa agar paani to woh kabhi rukaa nahi yahaan jahaan thaa sirf banjar, hum uss nagar mein rahe har rishtey ko bhulaayaa thaa unko paane ke baad woh miley nahi waapas hum jinki khabar mein rahe naa sambhala kisi ne humein unke jaane ke baad yun tute hum ki barson us dard ke asar mein rahe naa kabhi woh aaye naa hi aayi unki kabhi khabar bas intezaar mein hum raat aur dopahar mein rahe

Hamko Mohabbat Nahi Mili..

Aisa Nahi Ki Ham Ko Mohabbat Nahi Mili Tumhain Chahte The, Par Teri Ulfat Nahi Mili Milne Ko Zindagi Mein To Kayi Hamsafar Mile Per Un Ki Tabiyat Se Tabiyat Nahi Mili Chehron Mein Dosron Ke Tujhe dhundte Rahe Soorat Nahi Mili Kaheen Seerat Nahi Mili Bohat Deir Se Aayi Tu Mere Paas Alfaaz Dhoondne Ki Bhi Mohlat Nahi Mili Tujh Ko Gila Hai Ke Tawajzu Na Di Tujhe Lekin Ham Ko To Khud Apni Mohabbat Nahi Mili Ham Ko To Teri Har Aadat Achi Lagi  Afsos Ki Tujh Se Meri Aadat Nahi Mili

Tujhe Mohabbat Ka Paigaam Likh Raha Hun ..

Tujhe Mohabbat Ka Paigaam Likh Raha Hun Tere Husn Ko Khat Mein Salam Likh Raha Hun!! Pee Kar Jeese Madhosh Hain Tamaam Duniyaa Husn-E-Mohabbat Ka Wo Jaam Likh Raha Hun!! Jiss Teer-E-Nazar Se Qatal Ho Rahe Diwaane Us Jadugiri Ka Aaj Ek Anjaam Likh Raha Hun!! Tere Ishq Mein Duba Rehta Hun Shab-O-Roz Teri Yaadon Ki Subah Aur Shaam Likh Raha Hun!! Hain Tujhse Kis Kadar Mohabbat Jaan-E-Wafa Yeh Main Mehfil Mein SareAam Likh Raha Hun!! Shah Hun, Mohabbat Ka Qalaam Likh Raha Hun Ke Meri Yeh Zindagi Ab Tere Naam Likh Raha Hun!! "Aryan" Hun, Tera Ishq-E-Haal Janewala Tera Paigam Apne "Alam-E-Qalaam" Se Likh Raha Hun

Mujhe Tum Yaad Aate Ho ..

Humein Ab Kho Ke Kehti Hai, Mujhe Tum Yaad Aate Ho... Kisi Ka Ho Ke Kehti Hai, Mujhe Tum Yaad Aate Ho.. Samundar Tha To Zor-O-Shor Se Lehrein Bahata Tha... Ab Qatra Ho Ke Kehti Hai, Mujhe Tum Yaad Aate Ho... Bayaan Karta Main Jo Haal-E-Dil To Yun Hi Muskura Deti... Wohi Ab Ro Ke Kehti Hai Mujhe Tum Yaad Aate Ho...

Humne Aaj Kuch Sach Likhne Ki Himmat Ki Hai...

Humne aaj kuch sach likhne ki himmat ki hai Koi jadoo nahi! hum ne kisi se mohabbat ki hai Woh ek lamha bhi jo uski yaad ke bina guzra Us pal mein hum ne khud se bhi nafrat ki hai Har shakhs milta hai aaker hume chahat se Baat meri soorat ki nahi! baat to seerat ki hai Uss se pahle koi bhi na aa saka wahaan Yaaro jis dil pe aaj usne hukumat ki hai Ye mere dil ka dard kam kyun nahi hota Aie dil hum ne kya dukhon se ulfat ki hai Saza milegi usko bhi iss faisle ke baad Mere zameer ne sach bolne ki jurrat ki hai Kya karoon ! woh to mohabbat ka matlab bhi nahi janti Dil-e-Nadan hum ne kis shakhs se mohabbat ki hai.

Suno Tum Mera Pyaar Ho ..

Tere haath mein Kabhi mera bhi haath ho Saath yu chal mere Jaise jano mein meri sans ho Jhuki jhuki teri nazar Us main bhi mera pyaar ho Raho mein teri khara Tujhe bhi mera intezaar ho Suno tum mera pyar ho  suno tum mera pyar ho,.. Suno tumhi mera pyar ho,..  kaho  tum mera pyaar ho

Kabhi Hamko Apne Khayalon Me Basa Kar To Dekho ..

Kabhi Hum Ko Apne Khayalo Me Basa Kar To Dekho, Srif Ek Baar Meri Muhabbat Ko Azmaa Kar To Dekho,  Is Duniya Ko Hum Is Tarah Se Bula Denge,  Mujhe Tum Bas Apni Aankho Me Basa Kar To Dekho,  Srif Tumhare Liye Hi Hogi Ab Meri Har Muskurahat,  Bas Apne Dil Me Mujhe Ek Bar Tum Basa Kar To Dekho,  Mehak Jaye Gi Tumari Zindagi Gulabo Ki Tarah, Bas Apni Saanso Ko Meri Saanso Se Takra Kar To Dekho,  Bhul Jaogi Duniya Ke Har Gham Ko Bas Ek Bar Meri Baaho Me Tum Aa Kar To Dekho ,

Koi Jaan Deta Hain ..

Sabhi insaan hai magar farq sirf itna hai, Koi zakhm deta hai to koi zakhm bharta hai... Humsafar bahut hai magar farq sirf itna hai, Koi saath deta hai to koi chodh deta hai... Pyaar saare karte hai magar farq sirf itna hai,  Koi jaan deta hai to koi jaan leta hai....

Meri Wafaon Ka Kuch To Sila Do Mujhko ...

Meri wafao ka kuch to sila do mujhko, Aisa karo aaj jala do mujhko.. Bahut muddat se guzar rhi hai jindagi haste haste, Chale aao jee bhar k rula do mujhko. Kayi roz se teri mahfilon se sirf hai wasta rakkha, Ek kaam karo jahar judai ka pila do mujhko.. Ek mazboot shakshiyat ban gaya hun ishq kerte kerte, Tum fir zameen-o-wazod tak hila do mujhko...

Teri Rooh Mein Bas Chuka Hoon Main ..

Teri har soch har umeed mein main hoon Ab kya kahoon ki teri tamanna kya hai... Teri rooh mein bas chuka hoon main Tujhe maloom hai mujhse sunne ki zaroorat kya hai... Apni chahat ke ek lamhe mein basa le mujhko Us lamhe mein waqt ka guzarna kya hai... Meri aankhon mein tu yun utar aayi hai Ki ab raat mein chaand ka aana kya hai... kahin yun na ho ki aankhe phir se baras pade  Mujhse na poonch ki teri mohabbat ka fasaana kya hai...

Yaad Aaaye Jo Meri Bhool Ke ..

Chandni raat mein kirano ka nazaara karna Chand dil karna to jazbon ko sitaara karna  Raat bhar khwab mein neend aati nahi hain mujh ko Khwab mein aana muhabat ka ishaara karna  chale aao tumhe paklon pe bithaye ham bhi Saari dunia se bas us pal ko kinaara karna  raat tanhaai ke aalm main to yaad aata haain chand ko dekh k kab tak hain guzaara karna  Aarzu hain meri jab marte huwe girne lagoon us ghari bahoNn ka ik baar tum sahaara karna  yaad aaye jo meri bhool ke meri jaan pyar se gaon ke raston pe pukaara karna

Tumahre Khwaab ...

Har raat me gehri nind so jata hun  Kyun ki tum hi to keh jate ho har raat Kal fir khwabon me mulakat hogi Yunhi fir tum par mere pyaar ki barsat hogi.... Main har raat sokar khwaabon me khokar Tumko paa leta hun  tum me jee leta hun Jo nahin kar sakta main jaagte hue... Har wo kaam tum sang kar leta hun Apni zindagi k kuch hasseen pal main In nind se bhaari palkon me saja leta hun....

Ye Jo Zindagi Ki Kitab Hain ...

Ye Jo Zindagi Ki Kitab Hai Ye Kitab Bhi Kya Kitab Hai? Kaheen Ik Haseen Sa Khuwab Hai, Kaheen Jaan Leva Azaab Hai, Kabhi Kho Lia, Kabhi Paa Lia, Kabhi Ro Lia, Kabhi Gaa Lia, Kaheen Rehmaton Ki Hein Baarishein, Kaheen Tishnagi Be Hisaab Hai, Kaheen Chaaon Hai, Kaheen Dhoop Hai, Kaheen Or Hi Koi Roop Hai, Kaheen Cheen Leti Hai Har Khushi, Kaheen Meharbaa'n Be Hisab Hai, Ye Jo Zindagi Ki Kitab Hai. Ye Kitab Bhi Kya Kitab Hai..!!

Mohabbat Humne Ki Hain ..

Humari ankh me Paanee Bahoot Hai. Ke Is Duniya me Beimaani Bahoot hai.. Mohabbat humne ki Hain,Humse Poocho... Mohabbat me Pareshani Bahoot Hai...

Zindagi Mein Kuch Lamhein Khaas Ban Jaate Hain ...

Zindagi Mein Kuch Lamhein Khaas Ban Jaate Hai, Mile to Mulakat Ban Jate Hai, Bichhre to Yaad Ban Jate Hai, Aur Jo Dil Se Kabhi Nahi Jaye, Wo Kuch Log Jine Ka Ek Bahana Ban Jate Hai.

Hum Aapse Pyaar Karte Hain ...

Lamhe judai ke bekarar karte hain, Haalat meri mujhe laachar karte hain, Aankhe meri pad lo kabhi, Ham khud kaise kahe ki hum aapse pyaar karte hain.

Jaane Kya Hain Dil Ke Andar ...

Jaane kya hai dil ke andar jo chupke se toot raha hai Ek meherbaan ka haath jaise hathon se chhooth raha hai Lamha lamha guzar ke dafan ho raha hai seene main Seh kar ye dard kuch ajab maza aane laga hai jeene main Jaane yeh kis rehguzar pe qadam humne badhaye hain Jaana tha kis manzil par, jaane kis aor nikal hum aaye hain Ek khalish hai dil ko gehre, ek ajab si khaamoshi chaayi hai In chubhti tanhaiyon main aaj yad teri bahoot aayi hai !!

Ek Larka Tha Deewana Sa ...

Ek Saal Purana Qissa Hai Ek Larka Tha Deewana Sa Karta Tha Manmana Sa Wo Shokh Shokh Chanchal Sa Mehka Mehka Pagal Sa Ik Roz Muhabbat Ker Baitha Or Ab Ke Sal Ka Qissa Hai Ab Wo Mazi Ka Hissa Hai Wo Pyaar Pe Jaan Ko Waar Gya Or Apne Aap Ko Maar Gya Sare Jag Se Jeet Gya Bas Apne Aap Se Haar Gya . . .

Jin Lamho Me Hum Sath Rahe ....

Kuch Yadein Hai Un Lamho Ki, Jin Lamho Me Hum Sath Rahe,  Khushiyo Se Bhare Jazbat Rahe, Ek Umar Gujari Hai Humne,   Jaha Rote Huye Bhi Hanste The, Kuch Kahte The Kuch Sunte The,   Hum Roj Subah Jab Milte The, To Chehre Khilte The,   Phir Luft Wo Manjar Hota Tha, Mil Kar Batein Karte The,  Hum Socho Kitna Hanste The, Wo Goonj Humari Hansne Ki....   Ab Ek Purani Yaad Bani,  Ye Batein Hai Un Lamho Ki, Jin Lamho Me Hum Sath Rahe... 

Hansati Thi Mujhko To Phir Rula Bhi Deti Thi ...

Hansati thi mujh ko to phir rula bhi deti thi, Kar ke wo mujh se aksar wade Bhula bhi deti thi, Bewafa thi bahut magar achha lagta tha dil ko Kabhi kabhi batein mohabat ka suna bhi deti thi Tham leti thi haath mera kabhi yunhe khud Kabhi haath apna mere hath se chura bhi leti thi Kabhi be-waqt chali aati thi milne ko Kabhi Qeemti pal mohabat ke ganwa bhi deti thi Ajab dhoop chaoun sa mizaj thi uski , Mohabt bhi karti thi  nazron se gira bhi deti thi..!!

Muddat Ke Baad Dekha Use .....

Muddat ke baad dekha use badla hua tha wo, naa jaane kya haadsa hua sehmaa hua tha wo, Mujhe dekh kar usne chehra chupa liya, Magar aankhe bata rahi thi ki roya hua tha wo, Uski aankho me dekh kar mehsus hua mujhe, Meri tarah kisi soch me dubaa hua tha wo, Uski aankho me wo dard Ki rangat aa gyi thi, Jaise kisi ke pyar me bahoot jala hua tha wo, Qurbaan ho jaau us shaks ki kismat pe main, Yaad me jiski khoya hua tha wo...

Mujhe To Bhulana Bhi Nahi Aata...

Mujhse Roothna Mat , Mujhe Manana Nahi Aata .. Mujhse Door Mat Jaana , Pyar Se Mujhe Wapas Bulana Nahi Aata .. Tum Mujhe Bhool Jao .. Yeh Tumhari Marzi .. Par Mai Kya Karoon .. Mujhe To Bhulana Bhi Nahi Aata,...

Jaane Kya Shikast Ka Azaab Liye Firta Hun......

Jaane kya shikast ka Azaab liye firta hun. Main kya hun aur kya khawab liye firta hun. Usne ek baar kiya tha sawal-e-mohabbat. Me har lamha wafa ka jawab liye firta hun. Usne pucha kab se nahi ho soye. Me tab se raat jaagne ka hisaab liye firta hun. Uski khawaish thi ke meri Aankho me pani dekhe. Me us waqt se Aansuo ka sailaab liye firta hun. Afsos ke wo phir bhi mere na hue. Me jiski Aarzoo ki kitaab liye firta hun....

Dil Todna Mana Hain ...

Kitaabon mein kehte hai phool todna mana hai Baagon mein kehte hai phool todna mana hai Phoolon se keemti cheez hai DIL Par Koi nahi kehta ki dil todna mana hai..!!!!

Mohabbat Ne Unki Hame Nakam Kar Diya...

Mohabbat ne unki hame benaam kar diya. Har khushi se hame Anjaan kar diya. Hamne kabhi bhi nahi chaha ki hame bhi pyar ho. Par unki ek najar ne hame Nilaam kar diya..

Ye Aag Ka Dariya Hian Mujhe Bach Ker Jana Hain...

ye aag ka dariya hai mujhe bach ker jana hai , Aye yaar jindagi ka mere nahi koi thikana hai...... tu pagal lamho ka betaab sa jhoka hai ,  tujhe kya malum hai ki is ishq me kitna dhoka hai... tu mangta hai duwaye jub tutate hai taare, kitna dard inhe hota hai judai me tu kya jaane ... tu manchala hai bhawra mujhko kuch pal ke liye khila dega, jub hogi teri jarurat kahin or tu chal dega... khaayi hai chot maine is ishq ke raahon me, mujhe nahi lotana hai ab sanam ki baahon me... Chand lamho ke liye kyun dil bahlaane aaya hai, Main pyar se wakif hu mujhe kya batane aaya hai.. Mujhe rakhne de dil pe mere kaabu tu, Na ban hamdard mera na ker koi bekaabu tu.... ye aag ka dariya hai mujhe bach ke jana hai, Mere ishq ke lamho ek bada fasana hai. tu ja manchale mujhe chhu na paayega, jal raha itna main ki chukar jal jaayega..

Aankh Se Lahu Na Bahaaya Kar..

Aankh se lahu na bahaaya kar, aye dil use kabhi to bhool jaya kar, dekhna wo ek din tujhe chhor jaaye ga, na tu use itna sataaya kar, itna aetbaar bhi achha nahi hota, use har ek baat na bataya kar, shiddat-e-gham se seena phatt jaaye ga, aankh se kuch aansu bahaya kar, us jesa tujhe kahin mil nahi sakta,    hazaar baar roothe hazaar baar manaya kar..

Hume Jeene Nahi Deti Hain Ye Gujari Huyi Yaadein...

Hume Jeene Nahi Deti Hai Ye Gujari Huyi yaadein... Hame Se Bhooli Nahi Jati Hai Ye Biti Huyi Baatein... Ab Kaise Kahein Hum Tum se Ye Dost Teri Baatein... Hame Har Pal Yaad Dilati Hai Teri Har Chhoti chhoti Baatein...

Kabhi Ghum Ki Aag Mein Jal Uthe...

Kabhi Ghum Ki Aag Mein Jal Uthe, Kabhi Dil ka Dagh Jala Diya,, Ae Janoon-e-Ishq Bata Zara,,, Mujhe Kyun Tamasha Bana Diya ... ! Gham-e-Ishq Kitna Ajeeb Hai, Ye Janoon Se Kitna Qareeb Hai,, Kabhi Ashq Palkon Pe Ruk Gaye,,, Kabhi Main Ne Dariya Baha Diya ... !! Mera Jazba-e-Shoq To Dekhiye, Meri Bandgi Hai Wo Bandgi,, Jahan Tera Naqsh-e-Qadam Mila,,, Wahin qaaba Maine Bana Diya ... !!! Abhi Kar Rhe Ho Tum Ibteeda, Mera Keh Raha Hai Ye Tajurba,, Tumein Zindagi Ki Hai Aarzu,,, Mujhe Zindagi Ne Mita Diya ...

Betaab Se Rehte Hain Teri Yaad Mein Aksar..

Betaab se rehte hain teri yaad  Mein aksar Raat bhar nahi sote teri yaad Mein aksar Be'dard zamane ka bahana sa bana ke Hum toot k rote hain teri yaad Mein aksar  Bhool jayein tumhein ye to mumkin hi Nahi Hum khud ko bhool jate hain teri yaad Mein Aksar..

Aayi Phir Wohi Pyaasi Shaam Hain

Aayi Phir Wohi Pyaasi Shaam Hai, Phir Wohi Intezaar Ka Mukaam Hai, Lut Gaye Yeh Neend-O-Karaar Ab, Aarzu Mein Tere Dil Hua Nilaam Hai, Karte Hain Sawaal Yeh Lab Mujhse, Muskaan Kis Cheez Ka Naam Hai, Kahaan Dhoondhu Main Us Shakhs Ko, La-Pata Woh, Shehar Gumnaam Hai, Aa Ja Ke Saansein Hain Pareshaan, Tere Bagair Lage Zindagi Ilzaam Hai, Sab Paa Kar Bhi Kuch Nahi Hai Pass, Bas Yeh Jazba-E-Ishq-E-Nakaam Hai

Sirf Hum Nazar Aayenge.....

Ankho se Apke dil me utar jayenge, dil me utar ke dhadkan ban jayenge, Palke jhuka kar chalna, warna logo ko Apki ankho me sirf hum nazar aayenge.

Mere Khushi Ke liye ...

Woh toh aa kar mujhe pyar ka ehsaas dila gaye.. Khoon ke ashq apni aankhon se baha gaye.. Main nasamajh na samjha dard-e-dil unka.. Mere khushi ke liye woh khudko ruswa bana gaye..

Aisa Kyun Hota Hain Dosto ..

Aisa Kyun Hota Hai Dosto…???   Jisko Zindagi Mano Wohi Jaan Nikal Leti Hai…  Hum Tadapte Hai Unki Hansi Ke Liye…...  Aur Wo Hume Hee Rulati Rehti Hai… 

Tumhe Jitane Ke Liye Hum Harte Chale Gaye ..

Raat kya dhali, Sitare Chale Gaye. Gairon se kiya Gila jab, Apne Chale Gaye Jeet to sakte the Hum Ishq ki bazi magar Tumhe jitane ke liye hum harte chale gaye.

Ab Wafa Se Mukar Gya Hai DiL ...

Ab Wafa Se Mukar Gaya Hai Dil , Ab Mohabbat Se Dar Gaya Hai Dil.. Ab Saharon Ki Baat Mat Karna , Ab Dilason Se Bhar Gaya Hai Dil.. Jab Bulate ThE Zinda Dil ThE Hum , Ab Na Aao Ke Mar Gaya Hai Dil.. Kya Bhala Dhundte Ho seene Mein , Jaan Se Bhi Guzar Gaya Hai Dil.. Ab Wo Pagal-Pan na Diwanapan Hai , Chot Kha Kar Apni Aukat Samajh Gaya Hai Dil

Phir Tumko Bhulakar Kya Karna...

Koi gazal sunakar kya karna, Yu baat badhakar kya karna.. Tum mere ho, mere rahoge , Duniya ko bata kar kya karna .. Tum pyaar nibhao chahat se , Koi rasam nibha kar kya karna ... Tum khafa bhi achhe lagte ho , Phir tumko Mana kar kya karna ... Tere dil me aakar baithe hain , Kahin aur ja kar ab kya karna .. Raatein yaad se achhi guzrengi , Phir tumko bhulakar kya karna. ..

Aayi Phir Wo Hi Pyaasi Shaam Hain .......

Aayi Phir Wohi Pyaasi Shaam Hai, Phir Wohi Intezaar Ka Mukaam Hai, Lut Gaye Yeh Neend-O-Karaar Ab, Aarzu Mein Tere Dil Hua Nilaam Hai, Karte Hain Sawaal Yeh Lab Mujhse, Muskaan Kis Cheez Ka Naam Hai, Kahaan Dhoondhu Main Us Shakhs Ko, La-Pata Woh, Shehar Gumnaam Hai, Aa Ja Ke Saansein Hain Pareshaan, Tere Bagair Lage Zindagi Ilzaam Hai, Sab Paa Kar Bhi Kuch Nahi Hai Pass,   Bas Yeh Jazba-E-Ishq-E-Nakaam Hai.......

Kaise Battaun kitna Khoobsurat Mera Yaar Hain...

kaise  bataaun  kitna  khoobsurat  mera  yaar hai wo to zamane me sabse zyaada mujhe pyara hai jiske  saath  maine  ab  tak  kaa  har  pal guzaara hai ab  woh  nahi ,  bas  uski yaadon kaa hi sahara hai ho   fidaa   jo   haseen   chehron  pe  aise  bahut  dekhe  hain pal   bhar   saath   nibhaane  waale  humne bahut dekhe hain kaun   karta   hai   yahaan   sachcha  ishq  aaj  ki  duniya  me mohabbat   ko   koi   khel   samjhe   aise   bahut  dekhe  hain kaun   dekhega   aaj   tumhare   dil  me  jhaank  ke kya hai jo   dekhe   bas   chehra   upar   se  aise  bahut   dekhe  hain kahaan   waqt   hai  kisi  ke  paas  ki  baithe do pal  saath  me matlab pooraa karke nikalne waale humne bahut dekhe  hain ye  zamaana  aisa  hai ki  yahan  qadar  nahi  mohabbat  ki verna humne bhi mitne waale mohabbat pe bahut dekhe hain

Raat Ki Tanhai Mein Aksar...

Meri Palkon Ka Ab "NEEND" Se Koi Talluq Nahi Raha Wo Kaisa Hai ? Isi Aalam Me Meri "RAAT" Guzar Jati Hey Raat Ki Tanhai Mein Aksar, Yeh Sochta Rehta Hoon… Muhabbat Dua Ha, Saza Ha, Jaza Hai, Ya Gunah Hai… Dilo Ko Tod Kar Jaane Se Kya Haasil Hua Tum Ko..... Maar Hee Dete To Yun Raat Ki Tanhai Mein Rona Na Padta

Nasseb Me Kya Hain ...

manzil na de chirag na de hausla to de, tinke ka hi sahi tu magar aasra to de maine ye kab kaha ki mere haq me ho jawab, lekin khamosh kyon hain tu koi faisla to de. barison mein ter naam pe khaata raha fareb, mere khuda kahn hain tu apna pata to de besaq mere nasseb pe rakh apna akhtiyaar, lekin mere nasseb me kya hain bata to dijye..

Maine Tumse Pyaar Kiya Tha...

Maine tumse pyaar kiya tha, dil-o-jaan tum pe nissar kiya tha.. chodenge na sath mera saari zindagi, wafa ka tumne bhi Ikraar kiya tha.. humne to tumahri rahhon par phool bichhaye the, un rahoon ke kaante apne haathon se uthaye the.. magar aye bewafa tune mere wafa ka kya sila diya, gair ke khatir mujhko dil se bhiula diya.. main kon hoon tumahri jo mujhe yaad karo tum, apne do aansu bhi mujh par barbaad karo tum.. khud ki naav to kinare par laga liya, mujhe bich majhaar me hi chhod di.. in dil mein jo basa tha pyar  tera , mere us dil ko hi tod diya .. jo gali tere ghar tak jati thi, us gali se hi maine muh mod liya.. badnaam na ho jaye tu duniya mein kahin , isiliye tere naam lena hi chhod diya.. jab kabhi bhi yaad aayega tumahri, sochenge tumhe dekha hi nahi.. tu jahan bhi rahe sada khush rahe, tujhe dil se main bhula raha hoon .. tere pyar ki jo hassen yaadein hain dil mein , un yaadon ko lauta raha hoon.. mujhe tumahri bewafai se k

Kya Kahe Zindagi Se..

Kya Kahen Zindagi Se , Kaise Lar Rahe Hain Bas Qiston Qiston Mein Hum , Mare Hain. Waqt Be Waqt Hoti Rehti Hain Barsaatein Aaj Bhi Dil Pe , Kuch Zakhm , Hare Hain. Kar To Dete Hain Yun Badi Badi Baatein Magar Tanhaai Men , Hum Bhi Dare Hain. Aur Kya Kahen Bhala Tumse Aey Doston Bas Kabhi Sambhle , To Kabhi Gire Hain.

Deta Hain Ye Dard..

Deta hai ye dard kyun bas hum hi ko, Kya samjhenge wo in aankhon ki nami ko, Lakhon deewane ho jis chaand ke, Woh kya mehsoos karega ek taare ki kami ko..

Wo Tera Ho Nahi Sakta ...

Samandar peer ka andar hain lekin ro nahi sakta  Yeh aasu pyaar ka moti hain isko kho nahi sakta  Meri chahat ko dulhan tu bana lena magar sun le  Jo mera ho nahi paaya woh tera ho nahi sakta

Kabhi Mian Kah Nahi Paaya..

Bahut bikhra bahut tuta thapede sah nahi paaya, hawaon ke isharon par magr main bah nahi paya, adhura ansuna hi rah gaya  yun pyaar ka kissa, kabhi tum sun nahi paayi kabhi main kah nahi paaya..

Koi Pathar Ki Murat Hain ...

Koi pathar ki murat hai,Kisi patthar me murat hai, Lo humne dekh li duniya jo itni khoobsurat hai, Jmana apni samjhe par mujhe apni khabar ye hai, Tujhe meri jaroorat hai,mujhe teri jaroorat hai....

Dil Se Jo Faisla..

Dil se jo faisala hona tha “khaskar” na hua, Sab se hota hai to phir mujhse hi kyon kar na hua, Jitna iss bar hua tujse main milkar tanha, Itna tanha to kabhi khud se bichhadkar na hua.

Sirf Mohabbat Ki Hain ...

Maine Kab Dard Ke Zakhmo Se Shikayat Ki Hai, Haan Mera Jurm Hai Ke Maine Mohabbat Ki Hai, Chalti Phirti Laasho Ko Gila Hai Mujhse, Shaher Me Rehkar Maine Jeene Ki Hasrat Ki Hai, Aaj Pehchana Nahi Jaata Chehra Uska, Ek Umar Mere Dilpe Jisne Hukumat Ki Hai, Aaj Phir Dekha Hai Use Mehfil Me Patthar Banke, Maine Aankhon Se Nahi Dilse Bagawat Ki Hai, Usko Bhool Jaane Ki Galti Bhi Nahi Kar Sakta, Toot Kar Ki Hai To Sirf Mohabbat Ki Hai..!!

Usne thama tha Hath mera...

Ek roz usne thama tha hath mera, mere hath se uske hath ki khushboo nahi jati.. wo bahut pyar se pukarte the nam mera, mere kano se unki wo aawaz nahi jati.. main bulata bhi nahi tha aur wo aa jate the, ab bolne par bhi meri aawaz un tak nahi jati.. bas chuke hain wo meri nas me lahu ki tarah, meri ulfat unki ruh mein utar kyon nahi jati..? main janta hun yeh shahar ye raste unke nahi , phir bhi meri ankhon se intzar ki aadat nahi jati ....

Ehsas Tum Ho ..

Mera sawan bhi tum ho meri pyas bhi tum ho , sehra ki bahon main chhupi aas bhi tum ho .. tum yun to bahut dur bahut dur ho mujhse, ehsas ye hota hain mere paas bhi tum ho.. Har jakham ki aagosh main hain dard tumahra, har dard main taskin ka ehsas bhi tum ho .. kho jao to viran si ho jati hain rahein, mil jao to fir jeene ka ehsas bhi tum ho.. likhta hin to tum hi utarti ho kalam se, padhta hun to lihaja bhi tum aawaz bhi tum ho ...

Pyar Ka Izhar Zaruri To Nahi..

Dil Ke Laut Jane Ka Izhar Zarori To Nahi !! Ye Tamasha Sare Bazar Zarori To Nahi !! Mujhe Tha Ishq Teri Rooh Se Or Ab Bhi Hai !! Jism Se Ho Koi Sarokar Zarori To Nahi !! Mein Tujhe Toot Ke Chahon To Meri Fitrat Hai !! Tu Bhi Ho Meri Talabgar Zarori To Nahi !! Ae Sitamgar Kash Zara Jhank Meri Ankho Mein !! Muskara Kar Pyar Ka Izhar Zaruri To Nahi !!