Phir Tumko Bhulakar Kya Karna...
Koi gazal sunakar kya karna,
Yu baat badhakar kya karna..
Tum mere ho, mere rahoge ,
Duniya ko bata kar kya karna ..
Tum pyaar nibhao chahat se ,
Koi rasam nibha kar kya karna ...
Tum khafa bhi achhe lagte ho ,
Phir tumko Mana kar kya karna ...
Tere dil me aakar baithe hain ,
Kahin aur ja kar ab kya karna ..
Raatein yaad se achhi guzrengi ,
Phir tumko bhulakar kya karna. ..
Comments
Post a Comment