Posts

Showing posts from November, 2012

Samundar Ki Gehraiyon Mein Utar Ke To Dekho..

samundar ki gehraiyon mein utar ke to dekho, ek aur naye Ittefaq se guzar ke to dekho.. senroo ki awaaz bhala kehti hai kya ? kabhi unme jakar simat kar ke to dekho.. sahil ke kinare par khamoshi hain bahoot, dil ki dhadkan se yeh puchh kar to dekho, wo jo ek shaks tanha dekhaai deta hain, kaho usse jaakar zara sambhal ke to dekho..

Kuch Ajeeb Se Rishte Ye Dil Bana Leta Hain..

kuch ajeeb se riste ye dil bana leta hain , kuch ajeeb chehron se arman jaga deta hain , lagte hai wo hame khud se bhi pyare , ye nadan dil bhi kaise kaise sapne racha leta hain.. unke sath ke rishte ka wajood dhoond na sake hum , yeh to pani ke bulbulo hain ubarte hain hawa ho jate hain , is dil-e-nadan ko tumahre pyar ki numaish ki aadat hain, ye nadan dil har waqt mere dard ka bazar laga leta hain .. ek rista hi to hain zameen aur aasmann ka , jab taraste hain dono to barish aa jati hain , kuchh aisa hi manzaar hai is dil ka bhi, jab yaad aati hain risto ki to aankh bhar jati hain..

Pyaar Ke Dard Ko...

pyaar ke dard ko , shabdo me samjhaun kis tarah.. chahta hun tumhe ,ye bataun kis tarah.. dil ko pyar se tere kadmo me rakha hain , tum jo bolo nahi to main bataun kis tarah.. tujhko intezaar mera ,mujhko intezar tera, fir bhi tum chup raho to kahu kis tarah.. tere pyaar ki shama jalata hun dil me, in aankhon ko rehta hain intezar tera, to virah sahun kis tarah.. tere dil me bhi to pyaar beshumaar hain , fir bhi jo tum na batlao, to main tumhe apna. humsafar samjhu kis tarah..?

Ab Intezar Nahi Karta Hoon..

zindagi mein kucchh baatein sach hoti hain.. ek sach yeh hain ki main tumse pyaar karta hoon , ek sachh yeh bhi hain ki ye sab jaanke bhi, tum mujhe chhod kar chali gayi.. ek sach yeh bhi hain ki tum bhi mere liye tadapte ho, aur ek sachh yeh bhi suno, ki main tumahra meri zindagi mein waapis ane ka, ab intezar nahi karta hoon.

Kitni Pyaari Hain Teri Aankhein..

kitni pyaari hain ye teri aankhein, jinpe hum marte hain ... ye kya jane ,hum tumse kitna pyaar karte hain. kitna dilkash hain ye tera chehra , jis ki tasveer hum seene se  chhupa rakha hain , ye kya jane ,teri ghum me hum kudh ko kis tarah saza dete hain kitna dard-barha hain ye tera dil,jis me hum baste hain , ye kya jane,hum tumse bicharne ke khayal se bhi darte hain , kiytni pyaari hain teri ye baatein , jinhe hum seene se laga rakhein hain , ye kya jane,hum teri yaad me kabhi jeete hain , to kabhi marte hain..

Kuch Pane Ki Siddat ,Wo Kya Jane..

Intehaa mohababt ki,wo kya jane, Imtehaan gurbat ki,wo kya jane.. jinhe kaanton se bachne ki aadat ho, Phoolon ki chahat wo kya jane.. jo na rakhe ho zameen par paaon kabhi, kadmo ki aahat ,wo kya jane.. bin maange jise mil jata ho sab kuchh, Kuchh pane ki siddat ,wo kya jane..

Ek Rishta Jo Attot Ban Gaya Tha..

Ek rista jo attot ban gya tha , tootne laga tha magar banne k baad.. ek sahare se uthate the ham  gir gaye magar sambhalne ke baad.. sikhane lage the aap se muskurana , rula gya magar hasane ke baad.. kadam jo badhein the aapki disha me ruk gaye wahi kuchh chalne k baad.. mangne ke liye jab jholi failayi thi, khich liya haath sab kuch dene k baad.. hamne jo jalaya the ummid ke chirag, bujh gaye magr sab jalne ke baad.. kya yahi arth hai rishto ka? tutna hota hai inhe banne ke baad..

Kuch Ajeeb Se Rishte Ye Dil Bana ..

kuch ajeeb se riste ye dil bana leta hain , kuch ajeeb chehron se arman jaga deta hain , lagte hai wo hame khud se bhi pyare , ye nadan dil bhi kaise kaise sapne racha leta hain.. unke sath ke rishte ka wajood dhoond na sake hum , yeh to pani ke bulbulo hain ubarte hain hawa ho jate hain , is dil-e-nadan ko tumahre pyar ki numaish ki aadat hain, ye nadan dil har waqt mere dard ka bazar laga leta hain .. ek rista hi to hain zameen aur aasmann ka , jab taraste hain dono to barish aa jati hain , kuchh aisa hi manzaar hai is dil ka bhi, jab yaad aati hain risto ki to aankh bhar jati hain..

Tum Ek Baar Pyaar Kar Ke Dekho Na..

kyun  rehte  ho  mujhse  dur   dur  yun kabhi  to  mere  paas aa  ke  dekho  naa gaalon   me   gadhdhe  kaise  padte  hain ek  baar  tum   muskura  ke dekho  naa kaisi    kashish   hoti  hai   mohabbat  me ek   baar  baahon  mein aa ke dekho naa zulfon  ko  failaa   do  mere   chehre   pe mujhe  hothon  se  chhoo  ke  dekho naa kaisi   aawaaz   hoti   hai   dhadkano   ki un   ki  tezi  ko  badhaa  ke   dekho  naa jo  geet  tumhaare  naam  pe   likhe  hain unko kabhi tum gungunaa ke dekho  naa badi    khoobsurat     hai     yeh    zindagi tum  ek  baar  pyaar  kar  ke  dekho  naa

Mere Muskan Ko Tere Hothon Pe..

Meri   muskaan   ko   tere   hothon   pe   sajaa ke tere   aansuon   ko   main   apne  naam likh dun aaye   maut   agar   main   badh   jaaun  aage aur apni     zindagi    ko  main   tere   naam   likh  dun chheen    loon   geet   dard   ke   tere   hothon   se geet     mohabbat  ke  main  tere  naam   likh  dun ruk      jaaye      kisi     pal     teri    saansen    agar apni    dhadkano   ko   main  tere  naam  likh  dun tere  naam  ke siwaa  keemat nahi mere geeton ki har   ek    geet  apni   main   tere   naam   likh  dun likhaa     thaa   kabhi  kisi  ka naam is dil pe maine aaj  fir   ek  baar  'DIL' me   wo  naam  likh  dun

Kitna Aasani Se Tumne Mujhko Bhulaya Hoga..

Kitni aasani se tumne mujhko bhulaya hoga, meri yaddon ne tumhe khub rulaya hoga.. baat be-baat aankh teri jo chhalki hogi, tumne apne chehre ko bazuon me chhuaya hoga.. socha hoga tumne din main kai baar mujhe, naam mera hatheli par likh likh ke mitaya hoga.. jahan tumne mere zikr suna hoga kisi se, teri aankhoon main koi aansoo to aaya hoga.. raat ke dhalne tak neend na aayi hogi tujhe, tune takiye ko bhi seene se lagaya hoga.. ho ke nidhal meri yaadon se tune jana hoga, meri tasveer pe sar apna tikaya to hoga.. poochha hoga jab kisi ne tere halat ka sabab, tune batoon main khub mujhe chhupaya hoga..

Dil Chahta Hain Zamane Se..

Dil chahta hai zamane se,  chhupa loon tujh ko dil ki dharkan ki tarah,  dil mein basaa loon tujh ko... koi ehsaas judai ka, na rehne paye, is tarah khud mein, meri jaan chhupa loon tujhko.. tu jo rooth jaye mujh se, mere dil ke humnawaz, sari duniya se khafa ho kar, mana loon tujhko.. jab main dekhoon tere chehre pe, udasi ka samaa, bas yeh chahoon kisi tarah, hansa loon tujh ko.. tu kabhi duniya se bezaar ho jaye to, dil ye chahe keh, bahon mein chhupa loon tujhko,