Posts

Showing posts from December, 2012

Main Tumse Pyar Karta Hun..

zindagi me kuch bate sach hoti hain ek sach yeh hain ki main tumse pyar karta hun, ek sach yeh hain ki yeh sab jaan ke bhi, tum mujhe chhor k chale gayi.. ek sach yeh hain ki tum bhi mere liye tadapte ho, aur ek sach ye bhi suno, ki main tumahra mere zindagi mein wapis aane ka , ab intezar nahi karta hoon..

Main Ab Kya Likhun...

Aankhon me bhara pyaar ka sagar likhun, ya teri muskan me chhipa mera jeevan likhun, chup chap kuch bolti ye teri saanse likhun, ya teri aahat ki chhedi hui koi dhun likhun.. Teri aawaz ko taraste mere arman likhun, ya tere deedar mein apna intezar likhun.. wo beete pal,mahine saal likhun, ya wo sadiyon se lambi raat likhun.. tere pas hone ki khushi likhun, ya is duri mein gire mere aansu likhun.. tujhe meri saans likhun, ya mere dhadkano ki aawaz likhun.. kya likhun mein ab kya likhun meri subah aur sham likhun ya mere dil me basa tere liye pyar likhun... tu hi bata de main ab kya likhun..?

Kash Wo Mera Hamsafar Hoti...

Kash wo mera hamsafar hoti, apne palko pe bitha ke rakhta usey, Bichha ke dil apna uski rahhon main  har ek kaante se bacha leta usey chhupa leta use dniya ki nazron se, zamane bhar ki khushiyan deta usey itna toot ke pyar karta usey gar kismat dhokha na deta mughe, magar janta hoon itna main  pyar woh behpanah krti hain mujhe, naam likh kar mera apni hatheli pe chupke chupke se padha krti hain  mera tasveer apne hathon me lekar, khud se batein kya krti hain . khuda se mere pass aane ki  subah sham fariyaad kiya karti hain yaad krti hain jab bhi woh mujhko to, aankhein mera num ho jaya karta hain. mere dil ki dhadkane bhi  yahi fariyad kiya kartya hain  ki kash main uska humsafar hota..

Jaane Kyon Wo Saanso KI..

jaane kyun wo saanso ki dor tootne nahi deta  bas do kadam aur chalne ka wasta dekar mujhe rukne nahi deti baat kehti hain wo mujhse hans kar jee lene ki ajeeb shaks hain mujhko chain se rone nehi deti aaj hausla deti hain mujhe chaand sitaro ko chhu lene ka wo pyaar sa chehra mujhe toot kar bikharne nahi deta  shayad jaanta hain wo bhi in aankhon men aansuo ka sailab hain  jane kyon phir bhi wo in aansuo ko girne nahi deta mujhe kehti hain main to mar jaungi tumahre bina  main zinda hun ab tak ki wo mujhe marne nahi deti..

Jab Koi Khayal Dil Se Takrata Hain..

jab koi khayal dil se takrata hain dil na chahkar bhi khamosh rah jata hain koi sabkuch kahkar pyar jatata hain koi kuch na kahkar bhi sabkuch bol jata hain

Mushkil Is Duniya Me Kuchh Bhi Nahi..

Mushkil is dunia me kuch bhi nahi, phir bhi log apne irade tod dete hai, agar sacche dil se mango kuch, to sitare bhi kisi ke liye apni jagah chhod dete hai.

Hatho Me Koi Ho Pyara Hath

Kahte He Hatho ki Lakire Aadhuri Ho to.... Kismat me Mohabbat Nahi hoti.. Par sach to Ye he ki Hatho Me ho koi Pyara Hath To Lakiron ki Bhi zarurat Nahi hoti...

Agar Zindagi Me Judai Na Hoti

Agar Zindagi Me Judai Na Hoti, To Kabhi Kisi Ki Yaad Aayi Na Hoti, Saath Hi Guzarta Har Lamha to, Shayad Rishto Me Ye Gehraayi Na Hoti...

Sabhi Ko Sab Kuch Nahi Milta..

Sabhi ko sab kuch nahi milta, nadi ki har lehar ko sahil nahi milta, yeh dil walon ki dunia hai dost, kisi se dil nahi milta to koi dil se nahi milta...

Dil KI Ek Aas Hain Jaane Kab Pura ...

Aashiyaan dil hai mera, aate jaate musafir hain, Har chehra mujhse ye kahe hum tere taqdir hain, Raah takte rehte hain hum ki inme to koi apna ho, Dil ki ek aas hai jaane kab pura wo sapna ho...

Pyar Aur Barish Dono Ek Jaise Hote Hain..

Pyar aur barish dono ek jaise hote hai, Wo humesha yadgar hote hai, Fark sirf itana hai ki barish sath rah kar tan bhigati hai Aur, pyaar door rahkar aankhe....

Tere Intezar Me Palke Bichhaye Baithe Hain..

Tere intezar me palke bichhaye baithe hai. wo ayege isiliye ummid jagaye baithe hai. na todna kabhi milne ka wada ki hum ab to apni jaan ki bazi lagaye baithe hai

Tere Intezar Me Palke Bichhaye Baithe Hain..

Tere intezar me palke bichhaye baithe hai. wo ayege isiliye ummid jagaye baithe hai. na todna kabhi milne ka wada ki hum ab to apni jaan ki bazi lagaye baithe hai..

Mumkin Nahi Hain Ki Bich Raah Me..

mumkin nahi hai ki bich raah me saath chhod jaunga main tum to samajh jaogi, par khud ko kaise samjhaunga main ye aur baat hai ki sambhal gaya tha pichhli baar main par ab tum nahi rahoge, to kaise sambhal paaunga main maaloom hai ki kisi ke sapne sajaane hain mujhko, lekin kisi aur ke sapne tum hi kaho, kaise tod paunga main tutaa thaa dil mera pehli baar to tumhara sahara tha ab apne sahaare se duur jaake kaise thahar paunga main jaanaa, rishtaa meraa tumse kuch is tarha se jud gaya hai ki judaa ho ke tumse shayad bemaut hi mar jaaungaa main sach kehta hoon, mumkin nahi mere liye tumse duur rehnaa bin tumhaare tufan me tinke ki tarah main udd jaaungaa

Chalo Ek Baar Fir Se Pyaar Kar Ke Dekhta Hoon..

chalo    ek  baar    fir se   pyaar  kar ke dekhtaa hoon kisi   ki   aankhon   pe   aetbaar  kar ke dekhtaa hoon kisi   ki   baaton   me  ek  baar  kho ke dekhtaa hoon kisi   haseen  chehre  ka  firse    ho ke dekhtaa hoon  arsaa    ho  chukaa  kisi   hasi  se  dil   lagaaye  huye chalo     ek    baar   fir   se  dil lagaa ke dekhtaa hoon dil   meraa  machalne   lagaa  hai kisi ka saath paake saath    uske  fir se  main muskuraa ke dekhtaa hoon sambhal   ke   chal  chuka  bahut raah-e-zindgai mein nashe  me   pyaar ke firse ladkhadaa ke dekhtaa hoon main   aisaa    thaa   nahi  hameshaa  jaisaa  aaj  hoon fir   se    khudko   pehle jaisaa banaa ke dekhtaa hoon dil  ke   dard  ko   ab  tak  bahut  sunaayaa  hai maine firse  pyaar ke geet  main  gungunaa ke dekhtaa hoon

Saath Humara Pal Bhar Ka Sahi..

Saath Humara pal bhar ka sahi, par woh pal aise jaise koi kal nahi rahe zindagi mein shayad phir milna humaara par mehekti rahengi tumhari yaadein humare sang sahi...

Zindagi ke Raste...

Bade Ajeeb hai ye zindgi ke raste, Anjane mod par kuch log apne ban jate hai, Milne ki khushi de ya na de, Bichadne ka gam zaroor de jate hai...

Pyar Zindagi Ko Sajane Ke Liye Hain..

Pyar Zindgi Ko Sajane Ke Liye Hai, Zindgi Dard Badhane Ke Liye Hai, Kash Koi To Padh Pata Meri Udasi Ko, Ye Hansta Hua Chehra To Sirf Dikhane Ke Liye Hai.

Tum Bin Guzar To jayegi Zindagi..

Tum bin guzar to jaayegi zindagi Par main ji na pauonga tum bin hazaron sitaron ki bheer mein bhi dekho yeh chaand kitna tanha hai tum bin rahoon kaheen bhi kisi ke saath bhi par main hamesha udaas hoon tum bin agar chiragon ki roshni mein hoon main par meri zindagi mein andhera hai tum bin baharon ka mausam to hai gulshanon mein par phoolon mein khushboo nahi hai tum bin is hansi ke qehqahon mein bhi dekho mera dil ro raha hai tum bin mera sab kuch to tum ho main to kuch bhi nahi hoon tum bin...

Yeh Tanha Raatein Mujhe Sone Nahi Deti..

Yeh  tanhaa   raatein  mujhe  sone   nahi   deti aur    meri    bebasi    mujhe   rone   nahi  deti  chaaha   bahut  ki   bhulaa  dun   tujhe  main magar yeh yaadein tujhse dur hone nahi deti

Har Ek Saans Meri Tere Naam Se Hi ...

har  ek  saans  meri  tere  naam  se  hi  chalti hai har  ek  dhadkan  meri  tere  hi  geet  sunaati hai bhulaane ko to main kab kaa bhula deta  tujhe par  teri  yaad  tujhe  mere  aur kareeb le aati hai

Khyal Me Aata Hain Jab Uska Chehra..

Khayal me aata hai jab us ka chehra, To labon pe aksar faryaad aati hai, Hum bhool jate hai us k sare sitam, Jab us ki thori si mohabbat yaad aati hai…

Meri Zindagi Ek Band Kitab Hain..

Meri Zindagi ek band kitab hain , Jise aaj tak kisi ne khola nahi, Jise khola usne padha nahi, Aur jo samagh saka wo mili nahi....

Tumse Mera Rishta Kuch Is Tarah Se Juda Hain..

Tumse    mera  rishta   kuch   is   tarah   se  juda hai judaa   ho   ke   bhi   tumse  juda ho nahi pata main din   bhar   saath   rahun   tumhare  agar  main tab bhi raat  ko  tumhare  khwab binaa so  nahi pata main machalta    hai   dil   mera   tumse   milne  ko  har pal ek   roz    tumse   mile   bina   reh  nahi  pata  main nibhaye   jaa   raha   hoon   rishtaa  dosti   ka  tumse tumse  mohabbat  hai , kabhi ye keh nahi pata main kuch  nahi  aisa mere  baare me jo tumko  nahi pata bas  ek ye raaz   hai  jo tumhi se keh  nahi  paata main seh letaa hoon har    dard is  zamane me  main haske bas  dard judai ka  tumse kabhi seh nahi pata main achcha  lagta hai saath  tumhara, batein tumhari baithi  raho  paas  mere, kuch aur  nahi chahta main dekhta   rahun  tumhari aankhon  ko umra bhar main isse zyaada  kuch  bhi  to   kabhi  nahi chahta main

Yun To Kehte Ho Ki Mohabbat Nahi Hain..

yun  to kehte ho  ki mohabbat nahi hai mujhse fir mere  tasveer  ko dekh muskurati kyun ho doston  se  kehte ho ki pehchante nahi mujhe fir mere baatein sunke tum sharmate kyun ho milna  nahi  chahte  mujhse  kabhi  bhi  lekin roz  mere  gali  se  ho  ke  tum  jaati  kyun  ho thukra  dete  ho  mere  pyaar ko tum har baar is  tarah  se   mujhe  tum   tadpaate   kyun  ho keh do na  tumhe pyaar hai mujhse beshumar meri  bekaraari  ko  tum itna badhaate kyun ho     ye  dikhaawa  hai  tumhara, yaa dhokhaa koi karte  ho  mohabbat  to   fir  chhipaate  kyun ho

Hum To Saya Tera Ban Jayein Agar Tu Chale..

hum to saya tera ban jayein agar tu chale , ya kabhi bhi na nazar aayein agar tu chahe.. tu jo chahe to sar-e-aam karein ehd-e-wafa, yoon hi duniya se guzar jayein agar tu chahe. . tujh se milne mein to jana teri ruswayi hai, hum teri yaad se mil aayein agar tu chahe.. tu jo kah de to pukarein sar-e -bazaar tujhe, ajnabi ban ke gujar jayen agar tu chahe.. zindagi kar lein agar teri izazat mil jaye, teri chaukaht pe hi mar jayein agar tu chahe.. tu jo chahe to jamane ke sitam yoon hi sahein, saari duniya se bhi takra jayein agar tu chahe.. tujhe choom loon meri "janu" chehra lekar, hum tujhe tujh se bhi milwayein agar tu chahein...

Har Ghari Roshni Chirago Se Ho Mumkin Nahi

har ghari roshni chirago se ho mumkin nahi, andhere unki kismat me bhi der raat hote hai.. khayal noor ka paya tha hamne khwabon me, andhere raste taabeer bante dekhe hai.. kami sukoon me paayi na hamne raaton ko, yahi wo pal hai sitare bhi tootte dekhe .. ajab khyal se raaton ko mujhko aate hai, kahi e neend bhi uski to so gayi hogi... jalna jism ko mere jaha amaavas ho, andheri raat me kuchh pal ko roshni hogi.. har ek raat ko lagta hai jaane kyon mujhko, yahi wo raat hai kehte hai katl ki jisko.. huye beizzat jo din ko to khair jane do, tamasha rat ka ab yun na sabko aam karo..

Teri Hasrato Se Sazi...

Teri hasrato se sazi Meri apni duniya mein main rahoo, Teri berukhi se darta hai dil Chahat apni kaise tumhe main kahoo ye hawa tumhe choo kar, Mujhe har pal jalati hai, Ye bunde baarish ki tumhe bhingo kar, Mujhe har pal satati hai. Inko bina maange ye haq mila maine toh har pal band ankhon se Guzarish ki, Apne dil ki hi sun lo Tere dil ne bhi mere pyaar ki sifaarish ki, Mana aap khuda ki anuthi kriti ho, dharti bhi tere kadmo ko chumti

Rukh Hawaon Ka Aisa Tha..

rukh hawaon ka aisa tha, apne hi safar ke na rahe hum rishta  apno   ne  aisa toda, apne hi ghar ke na rahe hum na  mila  sahil , na  mili kashti, majdhar me hi rahe hum kiya  logo  ne  begana  , apne  hi shahar ke na rahe hum apni   parchhayi  ko bhi kabhi sukun  na mil saka humse koi  manzil  hi  nahi  apni ,  kahin  bhi thahar ke naa rahe hum kaun  apna  hai  yahan  hamaraa ,  kiske  hum paas rahen kaun  soche  apne  baare  me ,  kisi ke fikar ke naa rahe hum  chahat  me  khud  ko  nelaam kar ke bhi  dekh liyaa humne naa rahe kabhi  idhar   ke , aur  kabhi udhar  ke naa rahe hum

Jab Tak Hian Jaan ..

teri aakho ki namkin mastiya teri hasi ki beparwah gustakiya... teri julfo ki leherati angraiya.... nhi bhulunga mai.... jab tak hai jaan..jab tak hai jaan tera hath se hath jodhna.. tera sayo ka rukh mordhna.. tera palat ke phir na dekhna nahi maaf krunga mai... jab tak hai jaan...jab tak hai jaan... bariso mai bedhrak tere nachne se.. baat-baat mai bewajh tere ruthne se... choti-choti teri bachkani badmasiyo se... mohobat krunga mai... jab tak hai jaan...jab tak hai jaan..

Khud Se Na Sikayat Thi..

khud se na sikayat thi na tmse koi gila tha, mujhko jo bhi mila sab teri badolat hi tha.. jindagi kitni hasen lagne lagti thi, khushiyon ka jahan bas teri badolaat hi mila tha.. fizaon me ek naya hi rang tha, kyon ki mehboob mera mere sang tha.. patjhad me bhi bahaar ka ehsaas ho raha tha, khushiyon ka jahan bas teri badolaat hi mila tha.. fir ek din tum is duniya ki bheed me kahin kho gya , mere hothon se hansi aur har khushi door ho gaye.. tanhayi ne mujhe apne aagosh me chhipa liya , gamon ka sansaar bas tri badolaat hi mila tha.. tere bin jo bhi din aaya, gum ka tha chaaron aur saaya.. hothon se hansi el pal me hi chhin gayi, gamon ka sansaar bas teri badolaat hi mila tha.. tere bin jo bhi raat aayi, tanhayo mere chaaron aur chhayi.. jindagi se khushi ek pal me hi chhin gayi. gamon ka sansaar bas teri badolaat hi mila tha..

Ek Rista Jo Attot Ban Gya Tha..

Ek rista jo attot ban gya tha , tootne laga tha magar banne ke baad.. ek sahare se uthate the ham  gir gaye magr sambhalne ke baad.. sikhane lage the aap se muskurana , rula gya magar hasane ke baad.. kadam jo badhein the aapki disha me ruk gaye wahi kuchh chalne ke baad.. mangne ke liye jab jholi failayi thi, khich liya haath sab kuch dene ke baad.. hamne jo jalaya the ummid ke chirag, bujh gaye magr sab jalne ke baad.. kya yahi arth hai rishto ka? tutna hota hai inhe banne ke baad..

Intehaa Mohabbat Ki Wo Kya Jane..

Intehaa mohababt ki,wo kya jane, Imtehaan gurbat ki,wo kya jane.. jinhe kaanton se bachne ki aadat ho, Phoolon ki chahat wo kya jane.. jo na rakhe ho zameen par paaon kabhi, kadmo ki aahat ,wo kya jane.. bin maange jise mil jata ho sab kuchh, Kuchh pane ki siddat ,wo kya jane..