Mumkin Nahi Hain Ki Bich Raah Me..
mumkin nahi hai ki bich raah me saath chhod jaunga main
tum to samajh jaogi, par khud ko kaise samjhaunga main
ye aur baat hai ki sambhal gaya tha pichhli baar main
par ab tum nahi rahoge, to kaise sambhal paaunga main
maaloom hai ki kisi ke sapne sajaane hain mujhko, lekin
kisi aur ke sapne tum hi kaho, kaise tod paunga main
tutaa thaa dil mera pehli baar to tumhara sahara tha
ab apne sahaare se duur jaake kaise thahar paunga main
jaanaa, rishtaa meraa tumse kuch is tarha se jud gaya hai
ki judaa ho ke tumse shayad bemaut hi mar jaaungaa main
sach kehta hoon, mumkin nahi mere liye tumse duur rehnaa
bin tumhaare tufan me tinke ki tarah main udd jaaungaa
Comments
Post a Comment