Posts

Showing posts from June, 2013

Maine Dekha Tha Ek Sapna...

Maine dekha tha ek sapna , Sapney mein bana liya tha mere jaan tujhko apna. Dastak deti tu darvaje pey mere aayi thi , Khushiyon ki lahar jaise sang layi thi... Payal ki jhankar ko maine suna tha , Tan badan ko mere jhakjhor diya tha.... Bindiya ki chamak thhi teri aise , Janmo ki meri nind udha ke le gayi thi jaise.... Hansti thhi tu jab khilkhila ke , Moti jharte ho jaise gir gir ke.... Dulhan tu bani thu mere sapne mein, Doli me baitha ke laya tha mai tujhe apne ghar main..... Us raat bhar tu mere sapne main rahi , Meri jaan Uski yad ab tak dil se nahi gayi... Kash yeh mera sapna sachha  hota , Naseeb mera jaise jag gayahota aur mera pyar apna hota... 

Wafa Ka Wasta De Kar Bewafayi Ki Jisne..

Ab dua main khuda se kya mangu. Ab wo kisi or ki ho gayi wo use main kaise mangu. Wafa ka wasta de kar bewafai ki jisne. Usse apni mohababat ka haq kya mangu. Jan bujh kar anjan ban gaye jo. Uss se milne ki dua kya mangu. Mohababat main hamne ranjo-gam uthaye hain sada. Sanam ke khush rahne ki dua kya mangu. Jise main chahta hoon use kismat chhin leti hai. Tum hi kaho dosto ye Aryan dua main kya mange..

Usse Ki Hui Har Ek Baat Aaj Bhi Yaad Hain ...

Us shahar ki aakhri shaam mujhe yaad hai... uske saath wo aakhri mulaaquaat yaad hai... bhoolne ko to bhool jaayen hum apna pata... magar meri jaan ki har ek baat mujhe yaad hai... mili aakhri baar bhi har ek baar ki tarha... uska mere baahon me aajaana mujhe yaad hai... seene se lagte hi mere ro padi jaane kyun... uska us din aansoo bahaanaa mujhe yaad hai... baithi mere paas mera wo haath thaam ke... chup si thi, khaamosh si thi wo usdin... har baar bahut baatein karti thi mujhse... us din ka uska chup rehna mujhe yaad hai... kuch to alag tha is baat ka ehsaas tha mujhe... uska mujhse aankhen churaana mujhe yaad hai... kuch tha dil me uske jo keh na saki us pal... uska mujhse wo baat chhipaana mujhe yaad hai... jaate huye uska firse laut aana mujhe yaad hai... kaske mujhe apni baahon me bhar lena yaad hai... roti hui aankhen kuch keh rahi thimujhse us din... uska us din ka tadapna aaj bhi mujhe yaad hai... wo hantho ki mehndi, wo kaajal, wo

Is Tanha Dil Ko Phir Se Adhoora Kar Diya ..

Ye Barsaat Bhi Kab Ruke Kaun Jaane,. Hum To Dhoond Rahe Hain Roz Rone Ke Bahaane,. Aaj Ye Jo Barsaat Hai, Aansoon Ko Bhi Bahaa Le Jaayegi,. Kal Ka Kya Bharosa Hai, Kal Bhi To Yaad Uski Aayegi,. Rone Ka Mazaa Bhi Barsaat Ne Aaj Poora Kar Diya,. Afsos Ke Is Tanha Dil Ko Phir Se Adhoora Kar Diya...

Mil Jaao Agar Tum To ...

Mil Jaao Agar Tum To.. Jine Ka Sahara Ho Jaaye... Mushkilen Jindgi Ki Saari.. Khud ba Khud Aasan Ho Jaayen Mohabbat Karo Tum Mujhse Nahi Aisi Kuchh Tamanna Meri Ek Najar Bhar Dekh Lo Bas Tumhara Ahsaan Ho Jaaye.. Aaina Hoon Main Mere Saamne Aakar Dekho Khud  Nazar Aaogye Jo Mujhse Mohabbat Ho Jaaye Iltija Itni Si Hai Tumse Or Iske Siwa Kuchh Bhi Nahi  Baanho Me Tumhare Sanam Meri Jindgi Ho Jaaye Armaan Meri Jindgi Ka Or Koi To Hua nahi Pura Chahta Hun Ya Rab Ye Armaan Meri Jindgi Ka Pura Ho Jaaye..

Wo Tera Tha Kabhi ...

Hawa Keh Rahi Thi Bhul Jaa Uski Mehak , Na wo Tera Tha Kabhi Na Hoga Kabhi ... Barsaat Keh Rahi Thi Rok Le Apne Aansu , Na Wo Tera Tha Kabhi Na Hoga Kabhi ... Raah Keh Rahi Thi Badal De Apni Manzil , Na Wo Tera Tha Kabhi Na Hoga Kabhi ... Waqt Keh Raha Tha Aage Badh Mere Saath , Na Wo Tera Tha Kabhi Na Hoga Kabhi ... Yaadein Keh Rahi Thi Bhool Jaa Hume , Na Wo Tera Tha Kabhi Na Hoga Kabhi ... Par Dil Keh Raha Tha Puchh Le Apne Aap Se , Shayad Woh Tera Tha Kabhi …!!! 

Jindagi Ko Banaane Aaye The ..

Dil mai laga ke aag jaane aaye the.. Mujhse jata k pyar,Ishq seekhaane aaye the.. Jindagi thi unke bina jaise patjhad ka ho mosum, Meri duniya ko phoolon  se wo saajaane aaye the.. Khwabon me basar kerti thi meri khwaishe tamaam, Mere khwaab ko hakikat wo banaane aaye the.. Aansuon ka rishta mere aankhon se barso raha hai, wo dil me dekar dastak mujhe hasaane aaye the.. Meri aarzoo thi ki ek roz unhe main panno pe mohobbat se taraashu, Wo shaks jo jannat meri jindagi ko banaane aaye the..

Na Milta Gham To Barbadi..

Na Milta Gham To Barbadi Ke Afsane Kahaan Jate, Agr Duniya Chaman Hoti To Veerane Kahaan Jate, Chalo Acha Hua Apno Mein Koi Ghair To Nikla, Sab Hote Ager Apne To Begane Kahaan Jate, Tumhi Ne Gham Ki Dolat Di… Bara Ehsan Fermaya, Warna Hum Yeh Apne Haath Phelane Kahaan Jate

Talash Hain Ek Aise Shaks Ki ..

Talaash hai Ek Aise Shakhs Ki, Jo Ankho Me Us WaQt Dard Dekh Le, Jab Duniya Hamse Kehti Hai, Kya Yaar Tum Hamesha Hanste Rehte Ho. . 

Wo Raste Hame Phir Yaad Aane Lage..

Wo raste hame phir yaad aane lage  jin raston sya thay ham katrane lage  wo rasta jo jata tha mehbub ke gher  phir yaadon ke sitare wahan jilmilanae lage  bhula baitha tha bete waqton ki sabhi batain  wo nutkhut adayain or dikhawe yad aane lage  qismat mai jo hamari milna nahi likha  zahen-o-dil mai phir wo kyun samane lage  mehbub us jaisa hame mil nahi sakta  hame juda kar ke kyun loge pachtane lage  kashish un ki aankhun mai bala ki hia  nazroon ke teer ke samne qatil teer sharmane lage

Zamane Wale Kabhi Bhi Apne Nahin Hote ..

Zamane wale kabhi bhi apne nahin hote Harjaai chehre wafa ka paikar nahin hote Jin k pass hoti hain umer bhar ki yadain Wo log tanhai me bhi tanha nahin hote Na daikh yun kisi ghareeb ko nechi nazroon se Koi majbori na ho to hath phaile nahin hote Waste dete hain abb Khuda k tujhe Aur hum se abb jabar sehne nahin hote Shayad ajj mai tere naseeb me hota Agar tum mere aansuon par hanse nahin hote.....