Posts

Showing posts from June, 2012

Akele The Pahle Akele Ho Gaye...

Hum Tumse Juda Ho Gaye ... Ek Baar Aur Gumsuda Ho Gaye.. Gam Aur Khushi Ke Liye Baithe Hain Hum,,, Tum Iske Siwa Aur Kya De Gaye... Shayad Yahi Thi Kismat Meri,,, Ki Tum Meri Kismat Ho Gaye... Log Puchhate Hain Ki Kyoun Ro Pade Hum,,, Kah Diya Tum Aakar Chale Gaye... Tum Samajhna Na Aaghaaz Humko,,, Hum Khud Bhi To Pure Mit Gaye... Na Ho Sake Hum "HUMSAYAA" Kisi Ka,,, Akele The Pahle, Akele Ho Gaye...

Aksar Chup Chup Rehti Thi...

Aksar chup chup rehti thi Kisi se kuch na keti thi Masoom si bholi bhali si Sab se magar nirali si Pocha chup kyon rehti ho Kia tum sochti rehti ho Boli bhegi aankhon se Behki behki sansoon se Mujhe tum achhe lagte ho Dil ke sachche lagte ho Meri ek hi khuahish hai Tu hi meri choice hai Tujh se main pehchani jaoon Tere nam se jani jaoon

Teri Chah Me Had Se..

Teri Chah me  had se guzar jaunga Ek Din  Pyar hota hai kya ye dikhlaunga Ek Din Teri Sangdili ko sehte  sehte Mai apni Jaan se guzar jaunga Ek Din Apni chahtain sari Tujh per Waar ke Pyar karna Tujhe bhi sikhaunga Ek Din Gee na paoge Tu bhi ho ke  Juda Mujh se Aisa Pyar Tujh se ker jaaunga Ek Din Andheron mai dhondte reh jaoge Mujh ko Aisi Be-Rukhi dikhlaunga Ek Din Kho ker Mujh ko bahut pachtaoge Sanam Tu Wafa aisi Tujh se ker jaunga Ek Din Aisi Deewangi se Chahoon ga Tujh ko Bhool jaoge Tum bhi sara Jahan Ek Din Jaan Teri bhi Labon per aa jayegi Ban k Khaak jab mai Mitti mai mil jaunga Ek Din

Mai Use Kaise Akela Chhor Dun..

Main use  kaise akela chhor dun is rah main sath jo chalta raha majboriyon ke baad bhi. ban ke khushboo rach gya hai yun mere ehsas main door ho paya nahi woh dooriyon ke bad bhi rafta rafta us ko bhi ye duniya raas aa gye muskra ke woh mila hai ranjishon ke bad bhi fasly kab kum huien hain rabton ke bad bhi ajnabi the ajnabi hain “mohabbaton” ke baad bhi

Dil Ko Sukoon Rehta Hai..

Jis Tarah Ragon Mai Khoon Rahta Hai  Usi  Tarah teri Chahat Ka Junoon Rehta Hai  Zindagi Ki Har Kushi Mansoob Hai Tum Se  Baat Ho Tum Se To Dil Ko Sukoon Rehta Hai…

Dekha Hai Jabse Tughe..

dekha hai jabse tujhe humne haal kuch aisa hi hai apna, raaton ko neend nahi aati aur din me teri yaad satati hai, chaahte hain tujhe baahon me bharna hum par kya karen, teri yaadein to aa jaati hai par tu saamne nahi aati hai, dhadkane dhadakti hain aaj bhi tere naam se ye sach hai, tere kareeb aane ki soch hi humein paagal kar jaati hai, tadapte hain hum har lamha tere deedaar ke liye o sanam, teri yadein to aa jaati hain par tu haqiqat me nahi aati hai...

Koi Buraai To Nahi..

achcha lagta hai humein unke saath rehna, achcha lagne me koi buraai to nahi na, kya hua agar wo kisi aur ki hain to, use apna samajhne me koi buraai to nahi na

Hum Apni Saanso Ko Rok Le.

yaadon ko yun na aane do ki dam nikal jaye, kisi ki yaadon me khoke q zindagi ko rok le, jinhe jaana tha wo to jaa chuke humse dur, ab kyun unke liye hum apni saanso ko rok le...

Kaise Bhulaunga Us Mohabbat Ko

kaise bhulaunga us mohabbat ko main  jise maine manga nahi tha wo khud aayi thi  apni saanso ko kaise rok paunga main wo to mere saanso me har dhadkan me samayi hai asaan  hota is tarah mohabbat ko bhulana  to use kab ka bhula chuka hota main  uski har ek yaad ko dil se mitake  shyad aaj bahut kush hota main..

Yaade Bhi Hoti Hai

Nadi ka qahar tab pata chalta hai, jab usme kabhi baadh aata hai, yaadein bhi hoti hain baadh ke jaisi, apne sang humein baha ke le jaata hai.....

Lamhe Yaad Aate Hain..

tere shahar jaata tha jab main, milne tujhse banke deewana, bhoola nahi hoon aaj bhi wo din, jab mili thi mujhse pehli baar, wo teri masoom si nazar, jaane kaisa asar kar gayi, mujhko dekh tera muskurana, aaj bhi wo pal yaad aata hain, wo beete lamhe yaad aate hain, wo gujre zamaane yaad aate hain, chori chori chupke chupke, milne jab aati thi mujhse, nazrein churaake har kisi se, jab tu mila karti thi mujhse, ghanto tak hum baatein karte, gum aur khushiyaan baanta karte, un palon ki kuch baatein  yad hain, jo aaj bhi mujhko yaad aate hain, wo beete lamhe yaad aate hain, wo gujre zamaane yaad aate hain,

Main Pyar Tujhe Kr Lunga..

main aaj tujhe paane ki ek saazish aur kar lunga, ya to tu mil jaaye mujhe ya maut haasil kar lunga, chaukhat pe tere baith ke tera naam pukaar lunga, ya to tu mil jaaye mujhe ya khud ko hi haar lunga, tu aaj agar aayelaut ke baahon me tujhe bhar lunga, hothon ko tere chhoo ke main pyaar tujhe kar lunga, aana tujhe hai, tu aayegi, main intezaar kar lunga, seene se lag jaana mere main tera aetbaar kar lunga, tod ke sab bandhano ko main tujhe sweekaar kar lunga, ye pyaar hi to hai mujhe, tujhse hazaar baar kar lunga,  main aaj tujhe paane ki ek saazish aur kar lunga, ya to tu mil jaaye mujhe ya maut haasil kar lunga...

Pyar Karta Hoon Tumse..

kal tak mujhe pyaar tha tumse, aaj bhi pyaar karta hoon tumse, chahe mujhse tum pyaar na karo, dilo jaan se pyar karunga tumse, pyaar ko bhulana asaan nahi hai, tabhi to kehta hoon main tumse, pyar ho meri tum jaan ho meri, aaj jhoot keh raha hoon tumse, ki tumhaari har ek yaad bhulaake, dur jana chahta hoon tumse...

Yaadein Hain Jaise nadi ..

yaadein hain jaise nadi ka paani, dono ki hai ek jaisi kahani, apni bahaaw me baha k le jaati, lagti hai kabhi wo badi suhaani,

Aaj Bhi Yaad Hai..

Tere sang beeta wo lamha tha aisa kam tha lekin tha wo pyara lamha kabhi kabhi ye sochta hoon main, kaash wo pal fr wapas laa pata, kuch palon ki khushiyaan dekar, jaane kahaan wo aaj kho gayi, un dino ki kuch yaadein aaj bhi hai, jo aaj bhi mujhko yaad aate hain, wo beete lamhe aaj bhi  yaad  hai, wo gujre har ek pal  aaj bhi yaad  hai,

Kuch Deewane Aansu..

Kuch Deewane Aansu Ishq ke daayre mein Apna muqaam paa lete hain Chahat ke kisson mein Apni zindagi ka Har hissa baha lete hain Inhe hum kabhi Jo mitaana chahein Mohabbat mitne lagti hai Inke Ehsaas Bina Khushiyon ki aandhi mein Wafayein bujhne lagti hain!!

Zindagi Me Aapki..

Zindagi mein aapki ehmiyat bata nahi sakte,  Dil mein aapki jagah dikha nahi sakte,  Kuchh rishte anmol hote hain,  Is se zyada hum aapko samjha nahi sakte.  

Muaskaan Hoon Main..

wo kehti thi uske hothon ki muskaan hoon main, par koi bhagwan nahi, bas ek insaan hoon main, muskuraata tha usi ka chehraa dekh ke har lamha, aaj wo kehti hai uske liye koi anjaan hoon main, muskurana padta hai ye sochke ki koi jaan na le, koi aashiq nahi bas ek tuta huwa makaan hoon main, ashiqui ki thi sochke ki koi haseen ehsaas hai ye, ab apni usi soch ke kaaran pareshaan hoon main, kehte hain log ki duwa karo wo khush rahe jahaan hai, par kaise? koi bhagwaan nahi, bas ek insaan hoon main...

Tu Ne Shayad Mere Mehboob

 Tu ne shayad Mere Mehboob ko dekha hi nahi   Mere Mehboob ke Jalwon ka nahi koi Jawaab  Dhoop sa rang hai aur khud hai wo Chhaaoon jesa  Uski Payal mai Barsaat ka Mausam Chhanke  Sar pe Resham ka Dupatta hai Ghataaon jesa  Wo jahan bhar ke Haseeno se juda hai Mere Dost   Tu ne shayad Mere Mehboob ko dekha hi nahi   Mere Mehboob ki Aankhen hain Do Gehri Jheelien  Jin mai khilte hain Mere waaste Chahat ke Kanwal  Unko dekhoon to Mujhe Shayari karni aa jaaye  Aur mai uske lye Gaaon Mohabbat ki Ghazal  Wo Mere Dil ke Dharakne ki sada hai Mere Dost   Tu ne shayad Mere Mehboob ko dekha hi nahi   

Chehra Nazar Aata hai.

sotey jaagte kisi ka chehra nazar aata hai, koi to hai jo mujhe apne paas bulaaata hai, dhundli si wo tasveer kisi apne ki lagti hai, par ye dil use pehchaan hi nahi paata hai....

Himmat Kahan Se Laaun..

badi mushkil se sambhaala hai maine khudko, firse pyaar karne ki himmat kahaan se laaun, kisi ki pyaari surat dekh muskurata tha main, ab main wo pehle jaisi muskaan kahaan se laaun, mohabbat ko bhagwaan samajh pooja karta tha main, ab main wo pehle jaise ehsaas kahaan se laaun, kisi ki aankhon ko dekh ghazal banaata tha main, ab main wo pehle jaise shabd kahaan se laaun, sab kehte hain ki dhund loon fir se koi humsafar, par main is toote dil me firse pyaar kahan se laaun...

Zindagi Me Kayi Log ...

Zindagi me kayi log milte hai , kayi log bichharte hai par kuch log dil ke raste  manjil ko tay kar lete hai  Sagar par bani ret to lahro se meet jati hai .. par jab aise log bichharte hai to dil par bani nishan gahre hote jate hai..

Teri Tasveer Ko Aankhon me ....

Image
teri tasveer ko aankhon me basaa rakha hai, pyaar ko is dil me ab bhi jaga rakha hai, teri yaadon ko maine dil me chhupa rakha hai, diya ummeed ka maine ab bhi jala rakha hai, tere baaton ki mehek aaj bhi yahaan aati hai, har ek andaaz ko tere ab bhi yaad rakha hai, tu nahi paas mere is baat ka koi ghum bhi nahi, aana tujhko hai yahaan is dil ko bata rakha hai, tere geeton ko maine dil me chhipa rakha hai, tu meri saansen hain tujhe jaan bana rakha hai....

Pyar Kuch Kam Sa Lagta Hai..

mere geeton me aajkal wazan kuch kam sa lagta hai,  muskuraata to hoon par har taraf gham sa lagta hai,   kitaab ke panno ke bich kuch sukhe huwe gulaab mile,  mila bahut mujhe par pyaar kuch kam sa lagta hai,   kisi ne chaaha tha kabhi, chaah ke thukraaya mujhe,  aajkal har chehra mujhe mere us humdum sa lagta hai,   bhulaana chaahta bahut hoon main par bhulaaun kaise,  bhulaane se yaad karna dushwaar kuch kam sa lagta hai,   aasaan nahi hai muskuraana dil ke toot jaane ke baad,  muskuraata to hoon par ye kuch kam sa lagta hai...

Main Bataaun Kaise

aankho me jo chehra hai main dikhaaun kaise,  mujhe kiska intezaar hai main bataaun kaise,   dil me jo mere shor hai main dabaaun kaise,  dhadkano ki awaaz main tumhe sunaaun kaise,   tum mere paas ho ke bhi mere paas nahi ho, apne is duuri ka dard tumhe samjhaaun kaise,  chaahun to tumhe khinch ke seene se laga lun,  par khud me aisi himmat aaj main laaun kaise,   dil me jo bhi baat hai main chhupaaun kaise,  mujhe mohabbat hai tumse main bataaun kaise...

Pahli Baar Pi hai..

sharaabi naa samajhna maine pehli baar pi hai,  aaj peene ki himaakat maine pehli baar ki hai,  ye to yaaron ne zid kiya to mu laga liya humne,  yaaron ki baaton me aane ki khata humne ki hai,   nashe me hoon par sambhal jaaunga kuch pal me,  khud ko sambhalne ki koshish pehli baar ki hai,   kahaa yaaron ne ki peene se dard kam hota hai,  to usi dard ko bhulane ki maine chaahat ki hai,   tumko bhulaane ki koshish aaj pehli baar ki hai,  bas isi koshish ma maine aaj pehli baar pi hai...

Ishq hai humae ...

Na jane kis chij ka hisab rakhoon zehan ki karvat ya lafzon ki kitab rakhoon ho jaye na rusvaa voh mere aks se aage aaine ya chehre pe naqab rakhoon yeh toh socha na tha aazmane waqt  kaante bhi chubenge daman me jo gulab rakhoon  Ishq hai humae aur izhar-e-nazam hai yeh kyon qatil-e -mehboob se hijaab rakhhon

panah to hogi..

Tum tak pahuchne ki koi rah to hogi Sitam Mile na Mile teri Panah to hogi Barso Talak Mulakat ho na Sahi Jab bhi Milenge Wahi chah to hogi Dil ke Jakhm n dikhte hai na dikhata hai koi  Badan chute hi nikalti aah to hogi yah to kudrat ka ghumta aayena hai 'ishq ' Ujale ka mazama fir tanha rat siyah to hogi

Lafz Kam Pade to..

Lafz kam pad gaye to lab chum liye  kuch bate hoti hai khamoshi se wo pal jo gujare teri aagosh me  bate hoti hai teri sarfaroshi  se aaj jo tera didar ho gya  ishq ho gya apni madhoshi se teri ummed hai par tera Intjar nahi  Iq Sakun milta hai Is Sarfaroshi Se.

Kuch khawab thay meri anhkho me ....

Kuch khawab thay meri ankhon me tughe paa lene ki chahat thi chand lafzon me hi kahta hun mughe tumse bahut mohabbat hai pr tu kya jane meri chahat ko tujhe ho jati to puchta mai Dil jab toot ke  rota hai  Kya dard tumhe bhi hota hai ye khawab haqeqat ho jaye kisi apny jaise sangdil se  tujhe kash mohabbat ho jaye ...

Lafjo se kuch bhi izhar nahi krta....

Main Lafzon se Kuch Bhi Izhar Nahi Karta  Iska Matlab Ye Nahi ki Main Tughe Pyar nahi karta Chahta hun mai Tughe Aaj Bhi Par Teri Soch Me Apna Waqt Bekar Nahi Karta  Tamasha Na Ban Jaye Kabhi Mohabbat Meri Isiliye Apne Dard ko Aashkar Nahi Karta  Jo Kuch Mila Hai Usi Main Kush Hun  Main Tere Liye Khuda se Takrar Nahi Karta..

Jindagi bahut kuch sikhati hai....

Jindagi bahut kuch sikhati hai, Kabhi hasati hai kabhi rulati hai, Khud se bhi jyada kisi par vishwash mat karna, Kyuki andhere mein toh parchai bhi saath chod jati hai…

kyun kisi chehre ko dekh dil khone lagta hai...

kyun kisi chehre ko dekh dil khone lagta hai, kuch hi palon me koi apnaa sa hone lagta hai, raah me zindagi ke kai log mile, kai bichhade, kuch chehron ka asar kuch khaas hone lagta hai, kuch yaadein hain jo dil se kabhi duur nahi hoti, koi koi yaad dil ko aansuon se bhigone lagta hai, chaahke bhi bhulaana mushkil hota hai kuch lamho ko, jin lamho me kisi chehre se mohabbat hone lagta hai, kyun beete dino ki yaad me dil tadapta hai har pal, unhi baaton ko soch ke ye dil mera rone lagta hai, kyun kisi chehre ko dekh dil khone lagta hai, kuch hi palon me koi apnaa sa hone lagta hai...