Posts

Showing posts from April, 2013

Dil Se Dil Milte Hain Jab Tumse Milta Hun ..

Zazbaat Behkete Hain Jab Tumse Milta Hu Armaan Machalte Hai Jab Tumse Milta Hu!!!! Saath Hum Dono Ka Koi Bardasht Nahi Karta Sab Humse Jalte Hai Jab Tumse Milta Hu!!!! Ankho Se Tum Jaane Kya Kya Keh Deti Ho Toofan Se Chalte Hain Jab Tum Se Milta Hu!!!! Haatho Se Hath Milte Hain Hotho Se Hoth   Dil Se Dil Milte Hain,Jab Tumse Milta Hun.!!!

Mujhe Apne Chand Sawalon Ka Jawab Chahye..

Mujhe apne chand Sawalon ka jawab chahye Tumare Dil mai thori si jaga chahye Tujh ko Mere siwa kisi aur ka Khayal na rahey Teri Zindagi mai Mujh ko wo Maqam chahye Jo waqt b Hum ne Tere Bina guzarey hain Wapis Mujhe wo apne Shab-o-Roz chahye Teri Zindagi mai Meri kya Ahsiyat hai  Sab kuch chor, is baat ka Jawab Chahye 

Aaj Mujhe Ek Gunaah Karne Do ..

Aaj Mujhe Ek Gunaah Karne Do, Mujhe Tum Apne Aap Mein Khone Do, Apne Aapko Meri Aagosh Mein Karke, Mujhe Pariyo Ke Des Mein Khone Do, Apni Chudiyon Ki Khan Khan Se Mere Kaanon Mein Ras Gholne Do, Apne Lambe Kaale Baalon Se Ek Ghata Sawan Hone Do, Apne Honthon Se Phir Mujhe Ek Ghunt Jaam Pine Do, Apni Muskurahat Se Phir Ek Seher Hone Do, Apne Dilki Dhadkan Ko Aaj Betartib Hone Do, Aaj Maine Teri Aankhon Mein Phir Dekha Hai Apne Aapko, Na Band Karna Ye Palkein Kuch Der Ke Liye To Apna Hone Do, Aaj Mujhe Ek Gunah Karne Do, Mujhe Tum Apne Aap Mein Khone Do…

Aise Bichde Sabhi Raah Ke Mod Par

Aap ko dekh kar dekhta reh gaya. kya kahu aur kehne ko kya reh gaya. unki aankho me kaise chalakne laga. mere hontho pe jo maajra reh gaya. aise bichade sabhi raah ke mod par. aakhiri hamsafar raasta reh gaya. soch kar aao koo-e-tamanna hai ye. janeman jo yahan reh gaya reh gaya.

Phir Bhi Us Par Marne Ki Fitrat Hain To Hain ..

Wo nahi mera magar us se mohabat hai to hai., yeh agar rasmo-rivajon se bagawat hai to hai., such ko maine such kaha, jab keh diya to keh diya., ab zamane ki nazar me ye himakat hai to hai., dost bankar dushmano sa satata hai wo mujhe., Phir bhi us par marne ki fitrat hain to hain  kab kaha maine ki wo mil jaye mujhko, uski baahon me dum nikle itni si hasrat hai to hai., wo saath hai mere to zinda hu main,  meri saanson ko uski jarurat hai to hai…

Mil Jaao Agar Tum To ...

Mil Jaao Agar Tum To.. Jine Ka Sahara Ho Jaaye... Mushkilen Jindgi Ki Saari.. Khud ba Khud Aasan Ho Jaayen... Mohabbat Karo Tum Mujhse Nahi Aisi Kuchh Tamanna Meri Ek Najar Bhar Dekh Lo Bas Tumhara Ahsaan Ho Jaaye.. Aaina Hoon Main Mere Saamne Aakar Dekho Khud  Nazar Aaogye Jo Mujhse Mohabbat Ho Jaaye Iltija Itni Si Hai Tumse Or Iske Siwa Kuchh Bhi Nahi  Baanho Me Tumhare Sanam Meri Jindgi Ho Jaaye Armaan Meri Jindgi Ka Or Koi To Hua nahi Pura Chahta Hun Ya Rab Ye Armaan Meri Jindgi Ka Pura Ho Jaaye..

Jo Bhi Gham Yaad Na Tha ..

Jo Bhi gham Yaad Na Tha Yaad Aaya Aaj Kya kahe Kya Yaad Aaya Phir Koi Haath Hai Dil Per Jaisey Phir Tera Ahde Wafa Yaad Aaya Jiss Tarha Dhund Mein Liptey Phool Ikk Ikk Naqsh Tera Yaad Aaya Aisi Majboori Ke Aalam Mein Koi Yaad Aaya Bhi To Kya Yaad Aaya Aey Rafeeqo Sar-e-Manzil Jaa Kar Kya Koi Aabla Paa Yaad Aaya Yaad Aaya Tha Bicherna Tera Phir Nahin Yaad Ke Kya Yaad Aaya Jab Koi Zakahm Bhara Daagh Bana Jab Koi Bhool Gaya Yaad Aaya Ye Muhabbat Bhi Hai Kya Rog Jiss Ko Bhooley Woh Sada Yaad Aaya !

Wo Tum Nahin Ho ..

Arjoo Thi Jishki Woh Tum Nahin Ho Mohabat Hai Jish-Se Woh Tum Nahin Ho Masoom Hai Jo Woh Tum Nahin Ho Zindigi Hai Jish-Se Woh Tum Nahin Ho Sajna Hai Jo Woh Tum Nahin Ho Sapna Hai Jo Woh Tum Nahin Ho Tum Jo Nazar Aate Ho Hamesha Meri Nazaron Mein Woh Tum Tum Nahin Ho

Rothe Ho Mujhse Mujhe Manana Nahin Aata...

Rothe Ho Mujhse Mujhe Manana Nahin Aata Kyun Tumhari Hi Tarah Tumhe Satana Nahin Aata Jaan Ban Gaye Ho Meri Yeh Jaan Lo Tum Ab Tumhare Bina Mujhe Jeena Nahin Aata Naaraz Ho Mujse Tumhe Manao Kaise Apne Is Pyar Ka Yakeen Tumhe Dilao Kaise Kyun Aitbaar Nahin Karte Tum Meri Is Mohabbat Pe Ab Iske Siwa Mujhe Aur Kuch Kaam Nahin Aata Kyun Door Chale Gaye Ho Tum Mujhse Mujhe To Tumhe Apne Paas Bulana Nahin Aata Tumse Door Kaise Chale Jaye Hum Humein Tumse Door Hona Nahin Aata Pyar Karte Hain Tumse Bahut Yeh Kaise Kahein Hum Hum Jaante Hain Shayad Humein Yeh Kehna Nahin Aata

Tere Intejaar Main ...

Kisi shaam tum meri baaho main aa jaao, itna dur rehkar mujhe u na satao. Taras gaye hai ham ek arse se tere pyar ko, Baaho main bharlo mujhe or khud bhi bhig jaao. Tere labo ko chumlu main Pyar ki inteha tak, Teri zulfo se khelu main, besabri hai jaha tak, Andaz-e-pyar tera, jism main aag laga deta hai, Bujhane ka falsafa , ye jism hi jaanta hai. Par mera pyar is aag se kahi ujala hai, Tere intejaar main shayar aaj bhi adhura hai...!!!

Ab Agar Aaoo To Jane K e Liye Mat Aana...

Ab agar aaoo to jane ke liye mat aana ,  sirf ahsaan jatane ke liye mat aana ,  Maine palko pe tamannaye saja rakhe hai ,  dil main ummed ke shammaye jala rakhe hai ,  ye hasi sahme bujhane ke liye mat aana ,  pyar ki aag main zanjeere pighal sakte hai ,  chahne waloo ke taqdir badal sakte hai ,  tum ho bebas ye batane ke liye mat aana ,  Ab tum aana jo tumhe mujse mohabbat hai koi ,  mujse milne ki agar tum ko bhi chahat hai koi ,  tum koi rasam nibhane ke liye mat aana!!!

Aisa Nahi Ki Humko Muhabbat Nahi Mili...

Aisa Nahi Ki Hum Ko Muhabbat Nahi Mili, Jaisi Chahte The Hum Ko Woh Ulfat Nahi Mili. Milne Ko Zindagi Main Kai Humsafer Mile, Per Un Ki Tabiyat Se Tabiyat Nahi Mili. Chehron Main Dosron Ke Tumhin Dhoondhte  Rahe, Surat Nahi Mili Kahin Seerat Nahi Mili. Bohat Dair Se Aaya To Mere Pass Kiya Kahoon, Alfaaz Dhoondne Ki Bhi Mouhlat Nahi Mili. Tujh Ko Gila Raha Ke Tawajjoh Na Di Tujhe, Lakin Hamein Khud Apni Mohabbat Na mili. Her Shakhas Zindagi Main Bahut Dair Se Mila, Koi Bhi Cheez Waqat-e-Zaroorat Nahi Mili. Hum Ko To Teri Aadat Achi Lagi, Afsoos Ke Tujh Se Meri Aadat Nahi Mili.!!

Tumahari Yaad Humein Ab ...

Tumhaari yaad Humein ab.... raaton ko sone bhi nahin deti , Kuch hai aisaa baaki dil mein.......  ki thik se rone bhi nahin deti , Ab to shikwaa aur shikaaytein...  sirf maan ki hi mehmaan reh gayee, Iss tarah se ghut-ghut kar marte hue armaanon ko....  ye bhigone bhi nahin deti.

DiL Ki Batein Bata Deti Hain ...

Dil Ki Batein Bata Deti Hain Aankhen, Dharkanon Ko Jaga Deti Hain Aankhen , Dil Pe Chalta Nahi Jadoo Chehron Ka Kabhi , Dil Ko Deewana Bana Deti Hain Aankhen, Woh Hum Se Baat Nahi Karte To Na Kare, Haal Sara Unke Dil Ka Suna Deti Hain Aankhen, Gham Sada Rehta Nahi Aadmi Ke Saath, Ashk Bana Kar Chalka Deti Hain Aankhen, Aata Hain Jab Daur-E- Jawaani  To Aye Dosto, Sunder Sapne Zehan Mein Basa Deti Hain Aankhen, MaNa Ke Neend Aati Hai Aankhon Ke Hi Raste, Magar Kabhi Kabar Neenden Udaa Deti Hain Aankhen !!!!!!

Bus Tum

Ek Ass Ek Ehsaas Meri Pyaas Aur Bas TUM..! Ek Sawaal Ek Majaal Tumhara Khayal Aur Bas TUM..! Ek Baat Ek Raat Tumhra Sath Aur Bas TUM.! Ek Dua Ek Faryaad Tumhri Yaad Aur Bas TUM..! Mera Wajood Mera Junoon Mera Sukoon Bas TUM.! 

Magar Roo Na Saka..

Jo Poochta Hai Koi Surkh Kyon Hain Aaj Aankhein To Aankh Mal Ke Kheta Hoon Ki Raat So Na Saka  Hazar Chahoon Magar Yeh Na Keh Sakon Ga Kabhi Bhi Ki Raat Rone Ki Khwahish Thi Magar Roo Na Saka....

Dur Zaroor Hoon ...

duur zaroor hoon, magar, kaise kahun ki mujhe mohabbat nahi yun naa do dosh khud ko tum, mujhe tumse koi shikayat nahi jaanta hoon halat tumhari, ab kya hai majboori tumhari tumhe farz alag koi nibhana hai, isliye koi shikayat nahi ek paththar hi hai, jo maine apne seene pe rakha huwa hai na samajhna tumhara kasur hai, mujhe koi shikayat nahi dil hi to hai, samjha lunga use ki mumkin nahi hai anjaam haste haste har dard seh lunga par karunga shikayat nahi shikayat to hogi, magar mujhe shikayat bas apne kismat se mujhe is jahaan se, yaa jahan waalon se koi shikayat nahi

Mehki Baharo Me Unhe Phoolo Ki Tarah Dekha Hain ..

Mehki baharo me unhe phoolo ki tarah dekha hai, Baraste sawan me unhe boondo ki tarah dekha hai, Saja rakhe hai jo khwaab apni zindagi ki raho me, Un raho me unhe apni dulhan bane dekha hai...

Humare Chale Jaane Ke Baad..

Humare Chale jaane ke Baad Yeh Samandar Ki Ret Bhi Tumse Pucha Karegii Kahan Chala Gaya Woh Shaqs Jo Tanhaii Main Aa kar Bas Tumhara hi naam likha karta tha..

Tu To Meri Jindagi Ka Wo Pal Hain...

wo kisi ke khatir humen bhul bhi gaye to koi bat nahi......... hum bhi to bhul gaye the sara zamana unke khatir..... ab mujhe raat din tumhara hi khayal hai...  kya kahu pyar mai diwano jaisa haal hai... Tujhe bhul gaye to jindgi me yad rakhne layak kya rah jayega, Tu to meri jindgi ka wo pal hain jo mujhe marne ke bad bhi yad aayega,,

Kabhi Laga Wo Hume ...

Kabhi Laga Wo Hume Sata Rahe Hain, Kabhi Laga ke Wo karib Aa Rahe Hain, Kuch Log Hote Hi Ansuo ki Tarah Hain, Pata Hi Nahi Lagta sath De Rahe Hain , ya Chhod ke ja Rahe Hai..

Ek Gulaab Muskurata Hain ...

Taaron me akela chaand jagmagata hai, Muskilon me akela insaan hi dagmagata hai,  Kaanto se mat ghabrana mere dost,  Kyuki kaanton me hi ek gulaab muskurata hai...

Manzilain Nahi Milti ..

Sath chalne wale jab .... Sath chhod jate hain .... Waqt tham nahi jaata .... Koi mar nahi jaata .... Koi mar bhi jaaye to .... Zindagi nahi rukti .... Raste to chalte hain ... Yaar dost milte hain ... Zakham aise silte hain ... Gard Gard Lamhon main ... Umar cut hi jati hai ... Kuch Musafiron ko bus ... Manzilain nahi milti ....  Manzilain nahi milti .... 

Mohabbat Chhod Di Maine ..

Ye tumse kisne keh diya  ke tum bin reh nahi skte. Ye dukh hum seh nahi skte. Chalo hum maan lete hai ke tum bin hum bahut roye. K raato ko nahi soye. Magar afsoos hai ye jaanam ke ab ke jab tum lautoge. Hamey tabdeel paoge. Bhut maayus hoge tum agar tum puchna chaho ke aisa kyu kiya hamne? To sun lo gaur se jaanam k purani ek riwayat tod di hamne. Mohabbat chhod di maine Mohabbat chhod di maine....

Jane Kaise Hota Hain ..

Pyar ka koi bhed na jane. Jaane kaise hota hai. Hamne tumko apna maana jane kaise hota hai. Ehassa tumhara hardum rehna jane kaise hota hai. Bin bole he sab kuch keh jana jaane kaise hota hai. Rooh me samma ke aankho mein aana jane kaise hota hai. Is pyar ka koi mol na jane ..Jaane kaise hota hai.

Wo Bewafa Ho Jayega...

Sar Jhukaoge To Patthar Dewtaa Ho Jayega, Itna Mat Chaho Use Wo Bewafa Ho Jayega .. Hum Bhi Dariya Hain Hamain Apnaa Hunar Maaloom Hai, Jis Taraf Bhi Chal Padenge Raasta Ho Jayega .. Main Khuda Ka Naam Lekar Pee Rahaa Hoon Doston, Zehar Bhi Isme Agar Hogaa Dawaa Ho Jayega .. Rooth Jana To Mohabbat Ki Alaamat Hai Magar, Kya Khabar Thi  Mujh Se Wo Itnaa Khafa Ho Jayega ..

Kuchh Nahi Paas Hain ..

jism bhi udaas hai ,jaan bhi udaas hai sab kuch hai magar,kuchh nahi paas hai jeet bhi hai magar,haar saa ehsaas hai doobke bhi dekh liyaa,bujhti nahi pyaas hai zindagi nahi zindagi,jab woh nahi pass hai...

Tum Meri Zindagi Ban Gaye Ho Janam ..

dost ban ke aaye meri zindagi mein ab kya se kya ban gaye ho jaanam dard mein doobaa tha yeh dil mera meri har khushi ban gaye ho jaanam aankhon ke raste dil me samaa ke meri mohabbat ban gaye ho jaanam kaise bewafaa naam de dun main tumhe mere liye bhagwaan ban gaye ho jaanam tum bin ab kuch bhaata nahi mujhe tum meri zindagi ban gaye ho jaanam....

Abhi Kuch Aur Baat Banki Hain ..

tumse karne ko abhi kuch aur baat banki hai juda hone se pehle aakhri mulaqaat banki hai maalum hai humein juda hona hai kuch palon mein magar ab bhi hamara kuch palon kaa saath banki hai aao baitho hamare saamne ki dekh len tumhe thik se chali jana tum, abhi to poori raat banki hai woh gulaab jo tumne diya tha pehli mulaqaat mein sukh gaya, magar ab bhi usme woh jazbaat banki hai naa karo majboor ki ro de hum tumahre jane se pehle chhipa lenge ansoo, abhi to honi barsaat banki hai....

Tum Bura To Nahi Manoge..

main tumse kuch baat kahun tum bura to nahi manoge kahun main, tumse mohabbat hai tum bura to nahi manoge kab se yeh baat main dil mein dabaye baitha hoon kehna chahta hoon  magar keh nahi paata  hoon aaj keh dun sab kuch tumse to tum bura to nahi manoge...