Phir Bhi Us Par Marne Ki Fitrat Hain To Hain ..
Wo nahi mera magar us se mohabat hai to hai.,
yeh agar rasmo-rivajon se bagawat hai to hai.,
such ko maine such kaha, jab keh diya to keh diya.,
ab zamane ki nazar me ye himakat hai to hai.,
dost bankar dushmano sa satata hai wo mujhe.,
Phir bhi us par marne ki fitrat hain to hain
kab kaha maine ki wo mil jaye mujhko,
uski baahon me dum nikle itni si hasrat hai to hai.,
wo saath hai mere to zinda hu main,
meri saanson ko uski jarurat hai to hai…
Comments
Post a Comment