Posts

Showing posts from July, 2013

Sirf Hum Nazar Aayenge.....

Ankho se Apke dil me utar jayenge, dil me utar ke dhadkan ban jayenge, Palke jhuka kar chalna, warna logo ko Apki ankho me sirf hum nazar aayenge.

Mere Khushi Ke liye ...

Woh toh aa kar mujhe pyar ka ehsaas dila gaye.. Khoon ke ashq apni aankhon se baha gaye.. Main nasamajh na samjha dard-e-dil unka.. Mere khushi ke liye woh khudko ruswa bana gaye..

Aisa Kyun Hota Hain Dosto ..

Aisa Kyun Hota Hai Dosto…???   Jisko Zindagi Mano Wohi Jaan Nikal Leti Hai…  Hum Tadapte Hai Unki Hansi Ke Liye…...  Aur Wo Hume Hee Rulati Rehti Hai… 

Tumhe Jitane Ke Liye Hum Harte Chale Gaye ..

Raat kya dhali, Sitare Chale Gaye. Gairon se kiya Gila jab, Apne Chale Gaye Jeet to sakte the Hum Ishq ki bazi magar Tumhe jitane ke liye hum harte chale gaye.

Ab Wafa Se Mukar Gya Hai DiL ...

Ab Wafa Se Mukar Gaya Hai Dil , Ab Mohabbat Se Dar Gaya Hai Dil.. Ab Saharon Ki Baat Mat Karna , Ab Dilason Se Bhar Gaya Hai Dil.. Jab Bulate ThE Zinda Dil ThE Hum , Ab Na Aao Ke Mar Gaya Hai Dil.. Kya Bhala Dhundte Ho seene Mein , Jaan Se Bhi Guzar Gaya Hai Dil.. Ab Wo Pagal-Pan na Diwanapan Hai , Chot Kha Kar Apni Aukat Samajh Gaya Hai Dil

Phir Tumko Bhulakar Kya Karna...

Koi gazal sunakar kya karna, Yu baat badhakar kya karna.. Tum mere ho, mere rahoge , Duniya ko bata kar kya karna .. Tum pyaar nibhao chahat se , Koi rasam nibha kar kya karna ... Tum khafa bhi achhe lagte ho , Phir tumko Mana kar kya karna ... Tere dil me aakar baithe hain , Kahin aur ja kar ab kya karna .. Raatein yaad se achhi guzrengi , Phir tumko bhulakar kya karna. ..

Aayi Phir Wo Hi Pyaasi Shaam Hain .......

Aayi Phir Wohi Pyaasi Shaam Hai, Phir Wohi Intezaar Ka Mukaam Hai, Lut Gaye Yeh Neend-O-Karaar Ab, Aarzu Mein Tere Dil Hua Nilaam Hai, Karte Hain Sawaal Yeh Lab Mujhse, Muskaan Kis Cheez Ka Naam Hai, Kahaan Dhoondhu Main Us Shakhs Ko, La-Pata Woh, Shehar Gumnaam Hai, Aa Ja Ke Saansein Hain Pareshaan, Tere Bagair Lage Zindagi Ilzaam Hai, Sab Paa Kar Bhi Kuch Nahi Hai Pass,   Bas Yeh Jazba-E-Ishq-E-Nakaam Hai.......

Kaise Battaun kitna Khoobsurat Mera Yaar Hain...

kaise  bataaun  kitna  khoobsurat  mera  yaar hai wo to zamane me sabse zyaada mujhe pyara hai jiske  saath  maine  ab  tak  kaa  har  pal guzaara hai ab  woh  nahi ,  bas  uski yaadon kaa hi sahara hai ho   fidaa   jo   haseen   chehron  pe  aise  bahut  dekhe  hain pal   bhar   saath   nibhaane  waale  humne bahut dekhe hain kaun   karta   hai   yahaan   sachcha  ishq  aaj  ki  duniya  me mohabbat   ko   koi   khel   samjhe   aise   bahut  dekhe  hain kaun   dekhega   aaj   tumhare   dil  me  jhaank  ke kya hai jo   dekhe   bas   chehra   upar   se  aise  bahut   dekhe  hain kahaan   waqt   hai  kisi  ke  paas  ki  baithe do pal  saath  me matlab pooraa karke nikalne waale humne bahut dekhe  hain ye  zamaana  aisa  hai ki  yahan  qadar  nahi  mohabbat  ki verna humne bhi mitne waale mohabbat pe bahut dekhe hain

Raat Ki Tanhai Mein Aksar...

Meri Palkon Ka Ab "NEEND" Se Koi Talluq Nahi Raha Wo Kaisa Hai ? Isi Aalam Me Meri "RAAT" Guzar Jati Hey Raat Ki Tanhai Mein Aksar, Yeh Sochta Rehta Hoon… Muhabbat Dua Ha, Saza Ha, Jaza Hai, Ya Gunah Hai… Dilo Ko Tod Kar Jaane Se Kya Haasil Hua Tum Ko..... Maar Hee Dete To Yun Raat Ki Tanhai Mein Rona Na Padta

Nasseb Me Kya Hain ...

manzil na de chirag na de hausla to de, tinke ka hi sahi tu magar aasra to de maine ye kab kaha ki mere haq me ho jawab, lekin khamosh kyon hain tu koi faisla to de. barison mein ter naam pe khaata raha fareb, mere khuda kahn hain tu apna pata to de besaq mere nasseb pe rakh apna akhtiyaar, lekin mere nasseb me kya hain bata to dijye..

Maine Tumse Pyaar Kiya Tha...

Maine tumse pyaar kiya tha, dil-o-jaan tum pe nissar kiya tha.. chodenge na sath mera saari zindagi, wafa ka tumne bhi Ikraar kiya tha.. humne to tumahri rahhon par phool bichhaye the, un rahoon ke kaante apne haathon se uthaye the.. magar aye bewafa tune mere wafa ka kya sila diya, gair ke khatir mujhko dil se bhiula diya.. main kon hoon tumahri jo mujhe yaad karo tum, apne do aansu bhi mujh par barbaad karo tum.. khud ki naav to kinare par laga liya, mujhe bich majhaar me hi chhod di.. in dil mein jo basa tha pyar  tera , mere us dil ko hi tod diya .. jo gali tere ghar tak jati thi, us gali se hi maine muh mod liya.. badnaam na ho jaye tu duniya mein kahin , isiliye tere naam lena hi chhod diya.. jab kabhi bhi yaad aayega tumahri, sochenge tumhe dekha hi nahi.. tu jahan bhi rahe sada khush rahe, tujhe dil se main bhula raha hoon .. tere pyar ki jo hassen yaadein hain dil mein , un yaadon ko lauta raha hoon.. mujhe tumahri bewafai se k

Kya Kahe Zindagi Se..

Kya Kahen Zindagi Se , Kaise Lar Rahe Hain Bas Qiston Qiston Mein Hum , Mare Hain. Waqt Be Waqt Hoti Rehti Hain Barsaatein Aaj Bhi Dil Pe , Kuch Zakhm , Hare Hain. Kar To Dete Hain Yun Badi Badi Baatein Magar Tanhaai Men , Hum Bhi Dare Hain. Aur Kya Kahen Bhala Tumse Aey Doston Bas Kabhi Sambhle , To Kabhi Gire Hain.

Deta Hain Ye Dard..

Deta hai ye dard kyun bas hum hi ko, Kya samjhenge wo in aankhon ki nami ko, Lakhon deewane ho jis chaand ke, Woh kya mehsoos karega ek taare ki kami ko..

Wo Tera Ho Nahi Sakta ...

Samandar peer ka andar hain lekin ro nahi sakta  Yeh aasu pyaar ka moti hain isko kho nahi sakta  Meri chahat ko dulhan tu bana lena magar sun le  Jo mera ho nahi paaya woh tera ho nahi sakta

Kabhi Mian Kah Nahi Paaya..

Bahut bikhra bahut tuta thapede sah nahi paaya, hawaon ke isharon par magr main bah nahi paya, adhura ansuna hi rah gaya  yun pyaar ka kissa, kabhi tum sun nahi paayi kabhi main kah nahi paaya..

Koi Pathar Ki Murat Hain ...

Koi pathar ki murat hai,Kisi patthar me murat hai, Lo humne dekh li duniya jo itni khoobsurat hai, Jmana apni samjhe par mujhe apni khabar ye hai, Tujhe meri jaroorat hai,mujhe teri jaroorat hai....

Dil Se Jo Faisla..

Dil se jo faisala hona tha “khaskar” na hua, Sab se hota hai to phir mujhse hi kyon kar na hua, Jitna iss bar hua tujse main milkar tanha, Itna tanha to kabhi khud se bichhadkar na hua.

Sirf Mohabbat Ki Hain ...

Maine Kab Dard Ke Zakhmo Se Shikayat Ki Hai, Haan Mera Jurm Hai Ke Maine Mohabbat Ki Hai, Chalti Phirti Laasho Ko Gila Hai Mujhse, Shaher Me Rehkar Maine Jeene Ki Hasrat Ki Hai, Aaj Pehchana Nahi Jaata Chehra Uska, Ek Umar Mere Dilpe Jisne Hukumat Ki Hai, Aaj Phir Dekha Hai Use Mehfil Me Patthar Banke, Maine Aankhon Se Nahi Dilse Bagawat Ki Hai, Usko Bhool Jaane Ki Galti Bhi Nahi Kar Sakta, Toot Kar Ki Hai To Sirf Mohabbat Ki Hai..!!

Usne thama tha Hath mera...

Ek roz usne thama tha hath mera, mere hath se uske hath ki khushboo nahi jati.. wo bahut pyar se pukarte the nam mera, mere kano se unki wo aawaz nahi jati.. main bulata bhi nahi tha aur wo aa jate the, ab bolne par bhi meri aawaz un tak nahi jati.. bas chuke hain wo meri nas me lahu ki tarah, meri ulfat unki ruh mein utar kyon nahi jati..? main janta hun yeh shahar ye raste unke nahi , phir bhi meri ankhon se intzar ki aadat nahi jati ....

Ehsas Tum Ho ..

Mera sawan bhi tum ho meri pyas bhi tum ho , sehra ki bahon main chhupi aas bhi tum ho .. tum yun to bahut dur bahut dur ho mujhse, ehsas ye hota hain mere paas bhi tum ho.. Har jakham ki aagosh main hain dard tumahra, har dard main taskin ka ehsas bhi tum ho .. kho jao to viran si ho jati hain rahein, mil jao to fir jeene ka ehsas bhi tum ho.. likhta hin to tum hi utarti ho kalam se, padhta hun to lihaja bhi tum aawaz bhi tum ho ...

Pyar Ka Izhar Zaruri To Nahi..

Dil Ke Laut Jane Ka Izhar Zarori To Nahi !! Ye Tamasha Sare Bazar Zarori To Nahi !! Mujhe Tha Ishq Teri Rooh Se Or Ab Bhi Hai !! Jism Se Ho Koi Sarokar Zarori To Nahi !! Mein Tujhe Toot Ke Chahon To Meri Fitrat Hai !! Tu Bhi Ho Meri Talabgar Zarori To Nahi !! Ae Sitamgar Kash Zara Jhank Meri Ankho Mein !! Muskara Kar Pyar Ka Izhar Zaruri To Nahi !!