Lamhe Yaad Aate Hain..
tere shahar jaata tha jab main,
milne tujhse banke deewana,
bhoola nahi hoon aaj bhi wo din,
jab mili thi mujhse pehli baar,
wo teri masoom si nazar,
jaane kaisa asar kar gayi,
mujhko dekh tera muskurana,
aaj bhi wo pal yaad aata hain,
wo beete lamhe yaad aate hain,
wo gujre zamaane yaad aate hain,
chori chori chupke chupke,
milne jab aati thi mujhse,
nazrein churaake har kisi se,
jab tu mila karti thi mujhse,
ghanto tak hum baatein karte,
gum aur khushiyaan baanta karte,
un palon ki kuch baatein yad hain,
jo aaj bhi mujhko yaad aate hain,
wo beete lamhe yaad aate hain,
wo gujre zamaane yaad aate hain,
Comments
Post a Comment