Rukh Hawaon Ka Aisa Tha..


rukh hawaon ka aisa tha, apne hi safar ke na rahe hum
rishta  apno   ne  aisa toda, apne hi ghar ke na rahe hum

na  mila  sahil , na  mili kashti, majdhar me hi rahe hum
kiya  logo  ne  begana  , apne  hi shahar ke na rahe hum

apni   parchhayi  ko bhi kabhi sukun  na mil saka humse
koi  manzil  hi  nahi  apni ,  kahin  bhi thahar ke naa rahe hum

kaun  apna  hai  yahan  hamaraa ,  kiske  hum paas rahen
kaun  soche  apne  baare  me ,  kisi ke fikar ke naa rahe hum 

chahat  me  khud  ko  nelaam kar ke bhi  dekh liyaa humne
naa rahe kabhi  idhar   ke , aur  kabhi udhar  ke naa rahe hum

Comments

Popular posts from this blog

Kaise Bataun Tujhe Kitna Pyar Karta Hun..

Teri Ek Hasi Pe Ye Dil Qurban Kar Jaoon..

Aaj Ye Aaina Bhi Sharma Raha Hain...