Yaad Aaaye Jo Meri Bhool Ke ..

Chandni raat mein kirano ka nazaara karna
Chand dil karna to jazbon ko sitaara karna 

Raat bhar khwab mein neend aati nahi hain mujh ko
Khwab mein aana muhabat ka ishaara karna 

chale aao tumhe paklon pe bithaye ham bhi
Saari dunia se bas us pal ko kinaara karna 

raat tanhaai ke aalm main to yaad aata haain
chand ko dekh k kab tak hain guzaara karna 

Aarzu hain meri jab marte huwe girne lagoon
us ghari bahoNn ka ik baar tum sahaara karna 

yaad aaye jo meri bhool ke meri jaan
pyar se gaon ke raston pe pukaara karna

Comments

Popular posts from this blog

Kaise Bataun Tujhe Kitna Pyar Karta Hun..

Teri Ek Hasi Pe Ye Dil Qurban Kar Jaoon..

Aaj Ye Aaina Bhi Sharma Raha Hain...