Ye Aag Ka Dariya Hian Mujhe Bach Ker Jana Hain...

ye aag ka dariya hai mujhe bach ker jana hai ,
Aye yaar jindagi ka mere nahi koi thikana hai......

tu pagal lamho ka betaab sa jhoka hai , 
tujhe kya malum hai ki is ishq me kitna dhoka hai...

tu mangta hai duwaye jub tutate hai taare,
kitna dard inhe hota hai judai me tu kya jaane ...

tu manchala hai bhawra mujhko kuch pal ke liye khila dega,
jub hogi teri jarurat kahin or tu chal dega...

khaayi hai chot maine is ishq ke raahon me,
mujhe nahi lotana hai ab sanam ki baahon me...

Chand lamho ke liye kyun dil bahlaane aaya hai,
Main pyar se wakif hu mujhe kya batane aaya hai..

Mujhe rakhne de dil pe mere kaabu tu,
Na ban hamdard mera na ker koi bekaabu tu....

ye aag ka dariya hai mujhe bach ke jana hai,
Mere ishq ke lamho ek bada fasana hai.
tu ja manchale mujhe chhu na paayega,
jal raha itna main ki chukar jal jaayega..

Comments

Popular posts from this blog

Kaise Bataun Tujhe Kitna Pyar Karta Hun..

Teri Ek Hasi Pe Ye Dil Qurban Kar Jaoon..

Aaj Ye Aaina Bhi Sharma Raha Hain...