Dard Muskurate Hai Ab Bhi Teri Aahat Par...
zakham muskurate hai ab bhi teri aahat par,
dard bhool jate hai ab bhi teri aahat par..
sabnami sitaron me phool khilne lagte hai,
chaand muskurate hai ab bhi teri aahat par..
umra gujar rahi lekin bachpana nahi jata hai,
hum diye jalate hai ab bhi teri aahat par..
ghantiyan si bajti hai raqs hone lagta hai,
dard jagmagate hai ab bhi teri aahat par..
teri yaadein aayein to neend jati rahti hai,
khwaab toot jate hai ab bhi teri aahat par...
jo sitam kare tu sab kabbol hai dil ko,
hum khushi mangte hai ab bhi teri aahat par..
ab bhi teri aahat par "aryan" muskurata hai,
khwaab gungunate hai ab bhi teri aahat par..
Comments
Post a Comment