Aaj Ye Aaina Bhi Sharma Raha Hain...
aaj ye aaina bhi sharma raha hain dekh k tujhe
sara wo chilman bhi hasta raha hain dekh k tujhe
tere hotho ki lali jaise gulab ki chhoti kali
sunhari chehre pe bhawra mandra raha hain dekh k tujhe
nashili ankhon me laga kajal teri yaad dilaye
tere bikhre gashu andhera saja raha hain dekh k tujhe
tere gulabi galo ne khanjan me fisal jaye ham
dil me koi ishara lalcha raha hain dekh k tujhe
karke jara sa shringar kitna nikhar jate ho tum
aaj chand bhii chandni se bata raha hain dekh k tujhe
Comments
Post a Comment