Tere Karan Dewana Hua ..
barson bad jo teri yaadon ka aana hua
chhalakta sa aankhon ka paimana hua
koshish ki rok len bundon ko aankhon mein
par bundon ka bas yunhi beh jana hua
jinhe dil ke sandook mein band rakha tha
un yadon ka, aaj achaanak hi aana hua
na koi dastak na hi koi aawaaz di unhone
aa ke meri khamoshi ko chhed jana hua
yaad aayi woh teri gehri do aankhein humein
un aankhon mein hamara doob jana hua
dhundte rahe hum saahil ko majdhar mein
aur saahil se meelon dur chale jana hua
khoye kuch is tarah hum teri yaadon mein
hamara firse khud ko bhool jana hua
khud ko badal ke insaan banne chale the hum
'Aryan' firse tere karan dewana hua
Comments
Post a Comment