Tumahra Chehra Mujhe Har Sham Nazar Aaya..
tumhara chehra mujhe har sham nazar aaya
gehre zakhmon mein tumhara naam nazar aaya
aankhen meri geeli rahi tum se mili choton se
aur mujhpar hi har qatl ka ilzaam nazar aaya
tumne jab bhi dawa kiya apni mohabbat ka
bas mere hi barbadi ka intezam nazar aaya
wade tumne bahut kiye har wada nibhane ka
wadon mein bewafai ka paigham nazar aaya
aaghaz khoobsurat tha hamari mohabbat ka
magar dhokha hi chahat ka anjam nazar aaya
itna dard diya hai mujhe zindagi ne ab tak ki
maut ko gale lagane mein hi aaram nazar aaya..
Comments
Post a Comment