Pyaar Karta Hun Magar ...
Yaad me teri aaj bhi har raat rota hu,
soyi hai meri nind me kaha sota hu,
Yaad aati hai toh seh leta hu,
tanha raato me khudse ye keh leta hu,
bhul gyi hai tu mujhe na jane kiss bhul k liye
Dil me basa hai dard hoth hai ye siye,
pr bhula du tujhe aisa main hu nahi,
nahi janta kya hai galat kya sahi?
bas ab yehi soch raha hu,
teri yaadon me tujhe khoj raha hu,
chhod kr mujhe ho gayi hai tu itni dur,
daba lia hai dil me hi hr jazbat itna hu majbur
janta hu tu nahi hain ab mudne wali,
pr tere bina meri ye dunia rahegi khali
ji raha hu, aage bhi ji lunga,
pyaar krta hu magar ab teri chahat nahi krunga..
Comments
Post a Comment