Na Jane Kyon Tera Milkar Bicharna ....
Na jane kyon tera milkar bicharna yaad aata hai,
mai ro parta hun jab gujra jamana yaad aata hai,
mai aksar dekh kar shana ko apne rone lagta hun,
mughe jab pyar se tera sar rakhna yaad aata hai,
mai ro parta hun jab gujra jamana yaad aata hai,
kadam gayro ke uthte dekhta hun jab mohabbat me,
wo nange pao tera has ke aana yaad aata hai,
mai ro parta hun jab gujra jamana yaad aata hai,
koi jab muskarata hai to dil pr chot lagta hai
wo dhire se tera jab muskarana yaad aata hai,
mai ro parta hun jab gujra jamana yaad aata hai,
Na jane kyon tera milkar bichrna yaad aata hai,
Comments
Post a Comment