Iss Baat Ka Malal Hai...
Iss baat ka malal hai , shikwa nahi mujhe
Mere qareeb rah ke wo samjha nahi mujhe
Achha nahi ki main use bewafa kahoon
usne to mohabbat se kbhi dekha nahi mujhe
Jaise main mil gaya tha use raah me para
pathar tha ki heera kabhi parkha nahi mujhe
Tashna lab-o-dehen tha , kitni thi meri piyaas
kya mera mudda'a thaa! jaana nahi mujhe
kyon ker meri talash mein palta nahi kabhi
ya usne jaan boojh ker payaa nahi mujhe!!
Comments
Post a Comment