Teri ek nazar ke liye tarasta hu, Kaise batau tujhe kitna pyar karta hu, Tu mere rag rag mei samayi hai, Yu lagta hai aasma se tu mere liye aayi hai, Har pal uss chand se teri tareef karta hun, Kaise bataun tujhe kitna pyar karta hun, Tu dil mei mere dhadkan ki tarah kuch kehti hai,,,, Yu lagta hai hawao ki tarah tu mujhe chhukar chali jati hai,,,, Tujhse har ghadi milne ko tarasta hun, Kaise batau tujhe kitna pyar karta hun, Tanhaiyo mei tera chehra aakar mujhe hasa jata hai, Mujhe abhi kisi ke pyar k liye jeena hai, Har lamha mujhse keh jata hai, Teri godh mein sar rekhne ke liye tarasta hun, Kaise bataun tujhe kitna pyar karta hun....!!!
Teri ek hasi pe ye dil qurban kar jaoon, aitraaz na ho agar to tera dil chura le jaoon, na behne du kabhi in aankhon se aansu, tu kahe to tere saare sitam sah jaoon... hasta hua rakhu tere labo ko hamesha, chumakr jinhe woh pyari muskan de jaoo, seene se laga ke rakhu tumhe, mann to karta hai tujhme sama jaoo, sunta hi rahu tumahri dhakano ko, aur apne dil ki har bat kah jaoo, gum ko kabhi kareeb na aane du, aur tumhe zindagi ki khushiyan tamam de jaoo
aaj ye aaina bhi sharma raha hain dekh k tujhe sara wo chilman bhi hasta raha hain dekh k tujhe tere hotho ki lali jaise gulab ki chhoti kali sunhari chehre pe bhawra mandra raha hain dekh k tujhe nashili ankhon me laga kajal teri yaad dilaye tere bikhre gashu andhera saja raha hain dekh k tujhe tere gulabi galo ne khanjan me fisal jaye ham dil me koi ishara lalcha raha hain dekh k tujhe karke jara sa shringar kitna nikhar jate ho tum aaj chand bhii chandni se bata raha hain dekh k tujhe
Comments
Post a Comment