Dil Udaas Ho To...
Dil udaas ho to woh yaad aata hai
khushi ki mithaas ho to woh yaad aata hai
yun to safar me musaafir milte hain bahut
jab humsafar ki baat ho to woh yaad aata hai
Ik hawaa chalti hai aur pardaa udh jaata hai
phir khushboo aati hai to woh yaad aata hai
tooti khidhki ka sheesha, puraane paed pe nishan
guzarta hoon uss gali se to woh yaad aata hai
mulaqaaton me yun to beet jaata hai aam din
jab saath chahiye ho to woh yaad aata hai
mere dilo dimaag ab Isi muryad me rehta hain
shaayad tujhse hi kisi shaqs ko dost kehtae hain
Comments
Post a Comment