Raith Na Hota To Samandar Nahi Hota..
Raith na hota to samandar nahi hota
subah ki oas sa koi manzar nahi hota
khwaab nahi hote to hum haasil kya karte
deewangi ki dehleez ka koi dar nahi hota
ban jao haakim jeet ke zameen ke tukdae
dil ke tukdae kar ke koi sikandar nahi hota
duniya ko waham hai ke yeh kismat ki baat hai
Ishq khuda hai, iska koi muqaddar nahi hota
Comments
Post a Comment