Woh Dil Hi Kya Jo Tere ...
Woh dil hi kaya jo tere milne ki dua na kare
main tujh ko bhool ke zinda rahoon Khuda na kare
rahe ga sath tera payar zindagi baan kar
yeh or baat meri zindagi wafa na kare
Yeh theek hai nahin marta koi judai main
Khuda kisi ko kisi se magar juda na kare
Suna hai usko muhabat dua'ain daiti hai
Ju dil pe cHOTT tu khaye magar gila na kare
Agar wafa pe bharosa rahe na duniya ko
Tu koi shaks muhaBbat ka hoosala na kare
Bujha diya hai naseeboon ne mere pyar ka chand
Koi diya meri palkoon pe abb jala na kare ...
Zamana dekh chuka hai parkh chuka hai usse
Qateel jaan se jaye par ilteja na kare ..
Comments
Post a Comment