Kyun Pyaar Us Par Hi Aata Hai..
Kyun pyaar us par hi aata hai,
Jo mil kar bhi naa mil pata hai.
Kaise yeh usse batayein hum,
Tujh bin rah na paayein hum.
Kyun baar baar woh satata hai
Khuwaabon main aakar rulata hai
Bhulanaa us ko chahein hum,
Par kis tarah bhulayein hum
Woh mann main har dum rahta hai,
Dharkan ki tarah dharkta hai.
Hain issi Ehsaas se zindaa hum,
ek-duje ke dil- o- jaan hain hum.
Ek duje ke dil main rehte hain
Kya pyaar issi ko kehtay hain...?
Comments
Post a Comment