Dil Ki Dharkan Hai Tu...


dil ki dharkan hai tu ,jo khayalon mein mere rehti hai,
ha tu hai wahi,jo sawalon mein mere rehti hai...

sada dekha tere khwab tumse hi wafa karta hun,
dil ke aaine mein main tumse mila karta hoon...

main nahi jaanta ye  kaisi teri talab hai mujhko,
bas tera hi armaan iradon mein mere rehta hai...

khwaab hai tu mera ,tabeer dilaon kaise.
apni hasrat ko main taqdeer banaon kaise...

mujh ko milta hai sakon tera tasavir kar ke,
woh tera ishara ,jo isharon mere rahti hai...

teri tareef me likhi ye gazal kaise tujhe samjhaun,
tumko kehta hun mohabbat ka kanwal kaise samjhaun...

main to bas ek hi umeed mein rehta hoon sada,
tumko hi dekhoon jo nazron mein meri sada rehti hai...

Comments

Popular posts from this blog

Kaise Bataun Tujhe Kitna Pyar Karta Hun..

Teri Ek Hasi Pe Ye Dil Qurban Kar Jaoon..

Aaj Ye Aaina Bhi Sharma Raha Hain...