Imtehan tere pyar ka ab hoga...


Imtehan tere pyar ka ab hoga,
yaar tera jab mujhse juda hoga,
bas bate hi rah jayegi yado ka pulinda bankar,
Inke hi sahare Jeevan ka safar ab hoga.

Jamane se milkar to chalna hi hoga .
Rahe hai mushkil magar manjil par pahuchna hi hoga,
sanse jo kam par jaye to le lena meri,
par jo wada kiya hai tumne use pura karna hi hoga

Ab waqt ka takaja ye hoga ,
pyar ab mera tera hoga ,
ham par kar jayenge sarhad sari,
Us jahan main na koi pyar ka Imtehan hoga....


Comments

Popular posts from this blog

Kaise Bataun Tujhe Kitna Pyar Karta Hun..

Teri Ek Hasi Pe Ye Dil Qurban Kar Jaoon..

Aaj Ye Aaina Bhi Sharma Raha Hain...