Wo Musafir Tha ..

Aasan nahi milan fir se, ek baar bichhad jaane ke baad,
musafir wapas nahi aata, ek baar guzar jaane ke baad..

woh musaafir tha, use kuch pal hi saath nibhana tha,
rat ke khatam hote hi use bahut dur chale jaana tha..

aaya tha kuch pal, woh thakan dur karne apni yahan,
kab kaha tha usne, ki yeh uska aakhri thikana tha..

waaqif tha taqat se samundar ki lehron ke main, lekin,
meri nasamjhi mujhe ret se hi apna ghar banana tha..

usne to kaha bhi nahi kabhi, 'Mujhe tumse mohabbat hai',
magar kyun main samajh baitha, kya main deewana tha..

jab bhi kabhi likhi jayegi kahani meri, log kahenge ki,
mohabbat mein shama ke jalne wala, woh parwana tha..

kismat ne mere hi, mazakh achcha mere saath kiya tha,
use dil tod jana tha, dekh kar mujhe muskurana tha..

Comments

Popular posts from this blog

Kaise Bataun Tujhe Kitna Pyar Karta Hun..

Teri Ek Hasi Pe Ye Dil Qurban Kar Jaoon..

Aaj Ye Aaina Bhi Sharma Raha Hain...