Han Mujhe Usse Pyar Ho Gaya....

Han Mujhe Usse Pyar Ho Gaya,
Ek Pal Mein Na Jaane Kya Ho Gaya,

Yun To Main Roz Usse Milta Hoon,
Na Jaane Aaj Usse Dekhte Hi Mujhe Kya Ho Gaya,

Wo Bhi Mujhse Izhar Kar Na Saki,
Main Bhi Na Jaane Kaha Kho Gaya,

Aaj Usne Bahut Pyar Se Poocha Hai,
Wo Koun Hai Jisse Tumhe Pyar Ho Gaya,

Main Kaise Usse Kahoo Ke Wo Tum Hi Ho,
Jab Kehna Chaha To Uske Inkar Se Dar Gaya,

Wo Shayad Pyar Karti Hai Mujhse,
Na Jaane Kyon Mujhe Ye Guman Ho Gaya,

Kahi Aisa Na Ho Ke Isi Intezar Mein,
Koi Aakar Kahe Wo Kisi Aur Ka Ho Gaya,

Na Dar Ae Dil Keh De Aaj Usse Ye Baat,
Haa Wo Tum Hi Ho Jisse Mujhe Pyar Ho Gaya.......


Comments

Popular posts from this blog

Kaise Bataun Tujhe Kitna Pyar Karta Hun..

Teri Ek Hasi Pe Ye Dil Qurban Kar Jaoon..

Aaj Ye Aaina Bhi Sharma Raha Hain...