Musafir Hun Dosto..
Musafir hun dosto ,yaadon se bhi chala Jaunga,
Tanha aaya tha is duniya me ,tanha hi chala jaunga..
zindagi hain meri tinka,
hawa ka rukh kahan mujhe le jayega..
rakhega mujhe doston ke paas ya,
kisi kabra me dafna diya jayega..
sochta hun khushiyon ka khajana le ke jaun,
ya musafir hun musafir ki tarah jaun...
har ek bund ki tarah safar tay karte hue
sagar me mil jaun..
pramarsh lekar us prem ke sagar me dub jaun,
ya musafir hun musafiron ki tarah chala jaun..
jab koi tutta hain tara aasman se,
duao ka khajana mang leta hun..
khush rakhna mere doston ko.
khushiyon ka jahan mang leta hun..
doston na rahun main koi afsos nahi
kyon ki musafiron ka bhi to koi ghar nahi
musafiron ka bhi to koi ghar nahi...
Comments
Post a Comment