Dil Ki Dharkan Hain Khayalon Mein ...
dil ki dharkan hain,khayalon mein mere rahta hain,
kaun hain wo ,jo sawaalon mein mere rahta hain,
jiska dekha na chehra usse wafa karta hoon,
dil ke aaine mein main usse mila karta hoon,
main nahin janta yeh kiski talab hain mujko,
kiska armaan iradon mein mere rahta ahin,
khwab hain woh mera ,taabeer banaoon kaise,
mujko milta hain sakkon ,uska tsavvur kar ke,
wo ishara ,jo isharon me mere rahta hain,
kiski tareef mein likhi ye ghazal kya janu,
kisko kahta hun mohabbat ka kanwal kya janu,
main to bas ek hi umeed mein rahta hoon sada,
usko dekhoon jo nazron meri rahta hain..
Comments
Post a Comment