Hathon Me Mere Hath Ho Unka..



wo meri ankhon me doobke dekhte kya hain
aaina hai dil mera, wo talashte kya hain

dil me jo bhi baat thi mere sab keh chuka
meri khamoshi ki wajah poochhte kya hain

saans kya cheez hain jaan tak main de dun
mujhse wafa ki nishani mangte kya hain

wo hi hain sab kuch mere, unse hi ye jahan
unke siwaa hum yahaan pehchante kya hain

kar chuke hum apni mohabbat ka izhar unse
ab to unke iqraar ke siwa mangte kya hain

aye khuda! hathon  me mere haath ho unka
fariyaad me  unke  siwaa mangte kya hain...

Comments

Popular posts from this blog

Kaise Bataun Tujhe Kitna Pyar Karta Hun..

Teri Ek Hasi Pe Ye Dil Qurban Kar Jaoon..

Aaj Ye Aaina Bhi Sharma Raha Hain...